SEARCH RESULTS
Showing search results for "चलेगा"
Sher MATCHES FOR "चलेगा"
Sher
Jaun Eliya
Sher
kab tak pa.De rahoge havaa.o.n ke haath me.n
kab tak chalegaa khokhle shabdo.n kaa kaarobaar
Adil Mansuri
Sher
suno ki ab ham gulaab de.nge gulaab le.nge
mohabbato.n me.n ko.ii KHasaara nahii.n chalegaa
Jawayd Anwar
Sher
azal se qaa.em hai.n dono.n apnii zido.n pe 'mohsin'
chalegaa paanii magar kinaara nahii.n chalegaa
Mohsin Naqvi
Sher
chhup chhup ke jo aataa hai abhii merii galii me.n
ik roz mire saath sar-e-aam chalegaa
Abdul Hamid Adam
Sher
bharii duniyaa me.n faqat mujh se nigaahe.n na churaa
ishq par bas na chalegaa tirii daanaa.ii kaa
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
ham apnii dhartii se apnii har samt KHud talaashe.n
hamaarii KHaatir ko.ii sitaara nahii.n chalegaa
Mohsin Naqvi
Sher
ham manzilo.n ke baasii kab se bhaTak rahe hai.n
kab raah par chalegaa ye raasta hamaaraa
Bushra Bakhtiyar Khan
Sher
hausla hai to safiino.n ke alam lahraa.o
bahte dariyaa to chale.nge isii raftaar ke saath
Shahzad Ahmad
Sher
zaalim ne kyaa nikaalii raftaar rafta rafta
is chaal par chalegii talvaar rafta rafta
Dagh Dehlvi
Sher
tuu apnii marzii ke sabhii kirdaar aazmaa le
mire baGair ab tirii kahaanii nahii.n chalegii
Azhar Adeeb
Sher
sunaa hai shahar me.n zaKHmii dilo.n kaa mela hai
chale.nge ham bhii magar pairahan rafuu kar ke
Mohsin Naqvi
Sher
zindagii mai.n bhii chaluu.ngaa tire piichhe piichhe
tuu mire dost kaa naqsh-e-kaf-e-paa ho jaanaa
Qateel Shifai
Sher
shumaar mai.n na karuu.ngaa firaaq ke shab o roz
vahii.n se baat chalegii jahaa.n se TuuTii thii
Shahzad Ahmad
Sher
chaluu.ngaa kab talak tanhaa safar me.n
mujhe miltaa nahii.n hai kaarvaa.n kyuu.n