SEARCH RESULTS
Showing search results for "चिश्ती"
Sher MATCHES FOR "चिश्ती"
Sher
mai.n kis tarah tujhe ilzaam-e-bevafaa.ii duu.n
rah-e-vafaa me.n tire naqsh-e-paa bhii milte hai.n
Unwan Chishti
Sher
Unwan Chishti
Sher
is tarah phuu.nk meraa gulistaan-e-aarzuu
phir ko.ii tere baa'd ise viiraa.n na kar sake
Azam Chishti
Sher
vo haadse bhii dahr me.n ham par guzar ga.e
jiine kii aarzuu me.n ka.ii baar mar ga.e
Unwan Chishti
Sher
ishq phir ishq hai aashufta-sarii maa.nge hai
hosh ke daur me.n bhii jaama-darii maa.nge hai
Unwan Chishti
Sher
mirii samajh me.n aa gayaa har ek raaz-e-zindagii
jo dil pe choT pa.D ga.ii to duur tak nazar ga.ii
Unwan Chishti
Sher
Unwan Chishti
Sher
husn hii to nahii.n betaab-e-numaa.ish 'unvaa.n'
ishq bhii aaj na.ii jalvagarii maa.nge hai
Unwan Chishti
Sher
is kaar-e-numaayaa.n ke shaahid hai.n chaman vaale
gulshan me.n bahaaro.n ko laa.e the hamii.n pahle
Unwan Chishti
Sher
Unwan Chishti
Sher
suntii hai roz naGma-e-zanjiir-e-aashiqaa.n
vo zulf bhii hai silsila-e-ahl-e-chisht me.n