SEARCH RESULTS
Showing search results for "चेक"
Sher MATCHES FOR "चेक"
Sher
us ke chehre kii chamak ke saamne saada lagaa
aasmaa.n pe chaa.nd puuraa thaa magar aadhaa lagaa
Iftikhar Naseem
Sher
kabhii to chau.nk ke dekhe ko.ii hamaarii taraf
kisii kii aa.nkh me.n ham ko bhii intizaar dikhe
Gulzar
Sher
aaj to mil ke bhii jaise na mile ho.n tujh se
chau.nk uThte the kabhii terii mulaaqaat se ham
Jan Nisar Akhtar
Sher
Meena Kumari Naz
Sher
Ahmad Mushtaq
Sher
be-vaqt agar jaa.uu.ngaa sab chau.nk pa.De.nge
ik umr hu.ii din me.n kabhii ghar nahii.n dekhaa
Bashir Badr
Sher
mai.n sote sote ka.ii baar chau.nk chau.nk pa.Daa
tamaam raat tire pahlu.o.n se aa.nch aa.ii
Nasir Kazmi
Sher
'aKHtar' guzarte lamho.n kii aahaT pe yuu.n na chau.nk
is maatamii juluus me.n ik zindagii bhii hai
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
sunegaa kaun merii chaak-daamaanii kaa afsaana
yahaa.n sab apne apne pairahan kii baat karte hai.n
Kaleem Aajiz
Sher
yuu.n pukaare hai.n mujhe kuucha-e-jaanaa.n vaale
idhar aa be abe o chaak-garebaa.n vaale
Munshi Anwar Husain Tasleem
Sher
tuu mujhe bante biga.Dte hu.e ab Gaur se dekh
vaqt kal chaak pe rahne de na rahne de mujhe
Khursheed Rizvi
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
yuu.n tujhe dekh ke chau.nk uThtii hai.n so.ii yaade.n
jaise sannaaTe me.n aavaaz lagaa de ko.ii
Nazeer Qaisar
Sher
mai.n to chaak pe kuuza-gar ke haath kii miTTii huu.n
ab ye miTTii dekh khilaunaa kaise bantii hai
Zeb Ghauri
Sher
ab dekh le ki siina bhii taaza hu.aa hai chaak
phir ham se apnaa haal dikhaayaa na jaa.egaa
Meer Taqi Meer
Sher
vo chaa.nd TuuT gayaa jis se raat raushan thii
chamak rahe the falak par jo sab sitaare ga.e
Saleem Figar
Sher
mahfil me.n log chau.nk pa.De mere naam par
tum muskuraa diye mirii qiimat yahii to hai