SEARCH RESULTS
Showing search results for "जन्नत"
Sher MATCHES FOR "जन्नत"
Sher
ham ko ma.aluum hai jannat kii haqiiqat lekin
dil ke KHush rakhne ko 'Gaalib' ye KHayaal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
Munawwar Rana
Sher
Allama Iqbal
Sher
shab ko mai KHuub sii pii sub.h ko tauba kar lii
ri.nd ke ri.nd rahe haath se jannat na ga.ii
Jalal Lakhnavi
Sher
dozaKH o jannat hai.n ab merii nazar ke saamne
ghar raqiibo.n ne banaayaa us ke ghar ke saamne
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
usii ko kahte hai.n jannat usii ko dozaKH bhii
vo zindagii jo hasiino.n ke darmiyaa.n guzre
Jigar Moradabadi
Sher
Bekhud Dehlvi
Sher
mai.n samajhtaa huu.n ki hai jannat o dozaKH kyaa chiiz
ek hai vasl tiraa ek hai furqat terii
Jaleel Manikpuri
Sher
jo aur kuchh ho tirii diid ke sivaa manzuur
to mujh pe KHvaahish-e-jannat haraam ho jaa.e
Hasrat Mohani
Sher
ham tire KHvaabo.n kii jannat se nikal kar aa ga.e
dekh teraa qasr-e-aalii-shaan KHaalii kar diyaa
Aitbar Sajid
Sher
jannat milii jhuuTo.n ko agar jhuuT ke badle
sachcho.n ko sazaa me.n hai jahannam bhii gavaaraa
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
gunaahgaar ke dil se na bach ke chal zaahid
yahii.n kahii.n tirii jannat bhii paa.ii jaatii hai