SEARCH RESULTS
Showing search results for "जबीन"
Sher MATCHES FOR "जबीन"
Sher
Allama Iqbal
Sher
mil ke lagaa hai aaj zamaane Thahar ga.e
tujh se bichha.D ke vaqt guzaaraa nahii.n gayaa
Tahira Jabeen Tara
Sher
ye aa.nkh nam thii zabaa.n par magar savaal na thaa
ham apnii zaat me.n gum the ko.ii KHayaal na thaa
Tahira Jabeen Tara
Sher
sajde ta.Dap rahe hai.n jabiin-e-niyaaz me.n
sar hai.n kisii kii zulf kaa saudaa liye hu.e
Ada Jafarey
Sher
hamaare Duubne ke baad ubhre.nge na.e taare
jabiin-e-dahr par chhaTkegii afshaa.n ham nahii.n ho.nge
Abdul Majeed Salik
Sher
jabiin-e-paarsaa ko dekh kar iimaa.n laraztaa hai
ma.aaz-allaah ki kyaa anjaam hai is paarsaa.ii kaa
Qalaq Merathi
Sher
sajaa liyaa hai hathelii pe ham ne us kaa naam
is liye to bichha.D jaane kaa malaal na thaa
Tahira Jabeen Tara
Sher
merii jabiin-e-shauq ne sajde jahaa.n kiye
vo aastaa.n banaa jo kabhii aastaa.n na thaa
Figar Unnavi
Sher
chuumaa thaa ek din kisii gul kii jabiin ko
lahje se aaj tak mire KHushbuu nahii.n ga.ii
Afzal Ali Afzal
Sher
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
paa-e-sanam hai aur jabiin-e-haram-navaaz
rasm-o-rivaaj-e-shahr-e-mohabbat na puuchhiye
Akhtar Ali Talhari
Sher
is jabiin-e-araq-afshaa.n pe na chuniye afshaa.n
ye sitaare kahii.n mil jaa.e.n na sayyaaro.n me.n
Bekhud Dehlvi
Sher
sarf-e-sujuud kar ke jabiin-e-nazar ko mai.n
me.araaj de rahaa huu.n tire sa.ng-e-dar ko mai.n
Raqim Lakhnavi
Sher
sajda kahaa.n lagaa hai hamaarii jabiin kaa
charchaa hai phir falak pe tire dar-nashiin kaa
Saeed Ahmad Akhtar
Sher
us aastaa.n pe sajda kaa bhii kuchh rahaa na hosh
allaah-re iztiraab jabiin-e-niyaaz kaa
Mirza Ehsan Beg
Sher
is Dar se rok rakkhe hai.n aa.nsuu 'sa.iid' ne
aa.nchal na bhiig jaa.e kisii gul-jabiin kaa
Saeed Ahmad Akhtar
Sher
abruu me.n KHam jabiin me.n chii.n zulf me.n shikan
aayaa jo meraa naam to kis kis me.n bal pa.De
Naseem Dehlvi
Sher
kabhii kisii ko mukammal jahaa.n nahii.n miltaa
kahii.n zamiin kahii.n aasmaa.n nahii.n miltaa
Nida Fazli
Sher
tire jamaal kii tasviir khii.nch duu.n lekin
zabaa.n me.n aa.nkh nahii.n aa.nkh me.n zabaan nahii.n
Jigar Moradabadi
Sher
kitnaa hai bad-nasiib 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamiin bhii na milii kuu-e-yaar me.n