SEARCH RESULTS
Showing search results for "जलाना"
Sher MATCHES FOR "जलाना"
Sher
ye aur baat ki aa.ndhii hamaare bas me.n nahii.n
magar charaaG jalaanaa to iKHtiyaar me.n hai
Azhar Inayati
Sher
Irfan Siddiqi
Sher
raushnii ke liye dil jalaanaa pa.Daa
kaisii zulmat ba.Dhii tere jaane ke ba.ad
Khumar Barabankavi
Sher
ab kii sardii me.n kahaa.n hai vo alaav siina
ab kii sardii me.n mujhe KHud ko jalaanaa hogaa
Naeem Sarmad
Sher
ha.ns ha.ns ke kah rahaa hai jalaanaa savaab hai
zaalim ye meraa dil hai charaaG-e-haram nahii.n
Rasheed lakhnavi
Sher
jaan le lenaa jalaanaa khel hai ma.ashuuq kaa
aa.nkh se maaraa lab-e-naazuk se zinda kar diyaa
Jaleel Manikpuri
Sher
a.ndheraa itnaa hai ab shahr ke muhaafiz ko
har ek raat ko.ii ghar jalaanaa pa.Dtaa hai
Aziz Ahmad Khan Shafaq
Sher
tum jalaanaa mujhe chaaho to jalaa do lekin
naKHl-e-taaza jo jalegaa to dhu.aa.n bhii degaa
Ehtisham Akhtar
Sher
Raghvendra Dwivedi
Sher
Ghamgeen Dehlvi
Sher
shab-e-firaaq yahii mashGala hai aashiq kaa
kabhii charaaG jalaanaa kabhii bujhaa denaa
Jigar Gorakhpuri
Sher
chupke chupke raat din aa.nsuu bahaanaa yaad hai
ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai
Hasrat Mohani
Sher
ham ko miTaa sake ye zamaane me.n dam nahii.n
ham se zamaana KHud hai zamaane se ham nahii.n
Jigar Moradabadi
Sher
ye ishq nahii.n aasaa.n itnaa hii samajh liije
ik aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
husn ke samajhne ko umr chaahiye jaanaa.n
do gha.Dii kii chaahat me.n la.Dkiyaa.n nahii.n khultii.n
Parveen Shakir
Sher
ishrat-e-qatra hai dariyaa me.n fanaa ho jaanaa
dard kaa had se guzarnaa hai davaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Sher
us ko judaa hu.e bhii zamaana bahut hu.aa
ab kyaa kahe.n ye qissa puraanaa bahut hu.aa
Ahmad Faraz
Sher
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai