SEARCH RESULTS
Showing search results for "ज़मीन-ए-सज्दा"
Sher MATCHES FOR "ज़मीन-ए-सज्दा"
Sher
diyaa hai Gam ki nicho.De kabhii kabhii dil ko
zamiin-e-chashm-e-havas varna kaise tar hogii
Ijtiba Rizvi
Sher
Safdar Mirzapuri
Sher
bandagii terii KHudaa.ii se bahut hai aage
naqsh-e-sajda hai tire naqsh-e-qadam se pahle
Akhtar Ansari Akbarabadi
Sher
Ali Jawad Zaidi
Sher
Rafiq Raaz
Sher
jahaa.n na apne aziizo.n kii diid hotii hai
zamiin-e-hijr pe bhii ko.ii iid hotii hai
Ain Tabish
Sher
sar-zamiin-e-hind par aqvaam-e-aalam ke 'firaaq'
qaafile baste ga.e hindostaa.n bantaa gayaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
zamiin-e-dil pe mohabbat kii aab-yaarii ko
bahut hii TuuT ke barsii ghaTaa udaasii kii
Shahida Majeed
Sher
phir chhuu gayaa hai pyaar se ko.ii zamiin-e-dil
khilne lage hai.n dasht me.n phir mogre ke phuul
Vibha Jain 'Khwaab'
Sher
Gam-e-zamaana jab na ho Gam-e-vajuud Dhuu.nD luu.n
ki ik zamiin-e-jaa.n jo hai vo daaGdaar chaahiye
Tanveer Anjum
Sher
tire KHayaal se raushan hai sar-zamiin-e-suKHan
ki jaise ziinat-e-shab ho mah-e-tamaam ke saath
Narjis Afroz Zaidi
Sher
aasmaa.n kahte hai.n jis ko vo zamiin-e-sher hai
maah-e-nau misra.a hai vasf-e-abruu-e-KHamdaar me.n
Goya Faqir Mohammad
Sher
sajde ta.Dap rahe hai.n jabiin-e-niyaaz me.n
sar hai.n kisii kii zulf kaa saudaa liye hu.e
Ada Jafarey
Sher
merii jabiin-e-shauq ne sajde jahaa.n kiye
vo aastaa.n banaa jo kabhii aastaa.n na thaa