SEARCH RESULTS
Showing search results for "ज़र"
Sher MATCHES FOR "ज़र"
Sher
us kii yaad aa.ii hai saa.nso zaraa aahista chalo
dha.Dkano.n se bhii ibaadat me.n KHalal pa.Dtaa hai
Rahat Indori
Sher
Abbas Tabish
Sher
'faraaz' tuu ne use mushkilo.n me.n Daal diyaa
zamaana saahab-e-zar aur sirf shaa.er tuu
Ahmad Faraz
Sher
nizaam-e-zar me.n kisii aur kaam kaa kyaa ho
bas aadmii hai kamaane kaa aur khaane kaa
Anwar Shuoor
Sher
Muneer Niyazi
Sher
hijaab karne kii bandish mujhe gavaaraa nahii.n
ki meraa jism ko.ii maal-e-zar tumhaaraa nahii.n
Syeda Arshia Haq
Sher
kis tarah tujh se mulaaqaat mayassar hove
ye du.aa-go tiraa ne zor na zar rakhtaa hai
Joshish Azimabadi
Sher
duniyaa ne zar ke vaaste kyaa kuchh nahii.n kiyaa
aur ham ne shaa.erii ke sivaa kuchh nahii.n kiyaa
Iqbal Sajid
Sher
Abul Mujahid Zahid
Sher
tanhaa ujaa.D burjo.n me.n phirtaa hai tuu 'muniir'
vo zar-fishaaniyaa.n tire ruKH kii kidhar ga.ii.n
Muneer Niyazi
Sher
zar kaa banda ho ki mahruumii kaa maaraa hu.aa shaKHs
jis ko dekho vahii auqaat se niklaa hu.aa hai
Tauqeer Taqi
Sher
Muneer Niyazi
Sher
Faiz Ludhianvi
Sher
makaan-e-zar lab-e-goyaa had-e-sipehr-o-zamii.n
dikhaa.ii detaa hai sab kuchh yahaa.n KHudaa ke sivaa
Muneer Niyazi
Sher
KHazaana-e-zar-o-gauhar pe KHaak Daal ke rakh
ham ahl-e-mehr-o-mohabbat hai.n dil nikaal ke rakh
Iftikhar Arif
Sher
maal-o-zar kii qadr kyaa? KHuun-e-jigar ke saamne
ahl-e-duniyaa hech hai.n ahl-e-hunar ke saamne
Talib Husain Talib
Sher
zar diyaa zor diyaa maal diyaa ganj diye
ai falak kaun se raahat ke evaz ranj diye