SEARCH RESULTS
Showing search results for "ज़िल्ल-ए-इलाही"
Sher MATCHES FOR "ज़िल्ल-ए-इलाही"
Sher
'arzii insaaf kii ham ne bhii lagaa rakkhii hai
dekhiye zill-e-ilaahii hame.n kab puuchhte hai.n
Shehzad Anjum Burhani
Sher
har zarra chamaktaa hai anvaar-e-ilaahii se
har saa.ns ye kahtii hai ham hai.n to KHudaa bhii hai
Akbar Allahabadi
Sher
bande kaa parda shaan-e-ilaahii chhupii hu.ii
KHud ko to chho.D KHaak u.Daayaa to kyaa hu.aa
Yasin Ali Khan Markaz
Sher
but-KHaane me.n kyaa yaad-e-ilaahii nahii.n mumkin
naaquus se kyaa kaar-e-azaa.n ho nahii.n saktaa
Muztar Khairabadi
Sher
ruke hai aamad-o-shud me.n nafas nahii.n chaltaa
yahii hai hukm-e-ilaahii to bas nahii.n chaltaa
George Puech Shor
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
sariir-e-saltanat se aastaan-e-yaar behtar thaa
hame.n zill-e-humaa se saaya-e-diivaar behtar thaa
Inamullah Khan Yaqeen
Sher
sunaa hai arsh-e-ilaahii isii ko kahte hai.n
tavaaf-e-ka.aba-e-dil ham ne sub.h-o-shaam kiyaa
Peer Sher Mohammad Ajiz
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
muddat me.n shaam-e-vasl hu.ii hai mujhe nasiib
do-chaar saal tak to ilaahii sahar na ho
Ameer Minai
Sher
hamaarii tarah KHaraab-e-safar na ho ko.ii
ilaahii yuu.n to kisii kaa na raahbar gum ho
Ghulam Rabbani Taban
Sher
hairat me.n huu.n ilaahii kyuu.n-kar ye KHatm hogaa
kotaah roz-e-mahshar qissa daraaz meraa
Sharaf Mujaddidi
Sher
mash.huur javaanii me.n ho vo kyuu.n na jagat-baaz
mailaan-e-tabii.at thaa la.Dakpan se zile par
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
ilaahii mire dost ho.n KHairiyat se
ye kyuu.n ghar me.n patthar nahii.n aa rahe hai.n