SEARCH RESULTS
Showing search results for "ज़ुल्मत-ए-यूरोप"
Sher MATCHES FOR "ज़ुल्मत-ए-यूरोप"
Sher
mai-KHaana-e-europe ke dastuur niraale hai.n
laate hai.n suruur avval dete hai.n sharaab aaKHir
Allama Iqbal
Sher
aa.nkho.n me.n jal rahe the diye e'tibaar ke
ehsaas-e-zulmat-e-shab-e-hijraa.n nahii.n rahaa
Haneef akhgar
Sher
shikva-e-zulmat-e-shab se to kahii.n behtar thaa
apne hisse kii ko.ii sham.a jalaate jaate
Ahmad Faraz
Sher
Bashir Mehtaab
Sher
apnii qismat kaa bulandii pe sitaara dekhuu.n
zulmat-e-shab me.n yahii ek nazaara dekhuu.n
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
Saghar Nizami
Sher
jo nuur bharte the zulmaat-e-shab ke sahraa me.n
vo chaa.nd taare falak se utar ga.e shaayad
Khaleel Mamoon
Sher
KHud pe ye zulm gavaaraa nahii.n hogaa ham se
ham to sho.alo.n se na guzre.nge na siitaa samjhe.n
Bilqis Zafirul Hasan
Sher
pahlii sii lazzate.n nahii.n ab dard-e-ishq me.n
kyuu.n dil ko mai.n ne zulm kaa KHuugar banaa diyaa
Sehr Ishqabadi
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
Josh Malihabadi
Sher
aa shitaabii sii.n vagarna majlis-e-ushshaaq me.n
zulm hai Gam hai qayaamat hai KHaraabii ai sanam
Siraj Aurangabadi
Sher
insaaf ke parde me.n ye kyaa zulm hai yaaro
dete ho sazaa aur KHataa aur hii kuchh hai
Akhtar Muslimi
Sher
is ahd-e-zulm me.n mai.n bhii shariik huu.n jaise
miraa sukuut mujhe saKHt mujrimaana lagaa
Ahmad Faraz
Sher
ham hai.n ki ab bhii vaadii-e-zulmat me.n hai.n ravaa.n
apne lahuu se kar ke charaaGaa.n kaa ehtimaam
Ateeq Ahmad Ateeq
Sher
Arshad Abdul Hamid
Sher
sar par havaa-e-zulm chale sau jatan ke saath
apnii kulaah kaj hai usii baa.nkpan ke saath