SEARCH RESULTS
Showing search results for "ज़ेहन"
Sher MATCHES FOR "ज़ेहन"
Sher
teraa chup rahnaa mire zehn me.n kyaa baiTh gayaa
itnii aavaaze.n tujhe dii.n ki galaa baiTh gayaa
Tahzeeb Hafi
Sher
zehn me.n yaad ke ghar TuuTne lagte hai.n 'shahaab'
log ho jaate hai.n jii jii ke puraane kitne
Mustafa Shahab
Sher
shahr kii is bhii.D me.n chal to rahaa huu.n
zehn me.n par gaa.nv kaa naqsha rakhaa hai
Tahir Azeem
Sher
zehn o dil ke faasle the ham jinhe.n sahte rahe
ek hii ghar me.n bahut se ajnabii rahte rahe
Iffat Zarrin
Sher
Shahzad Ahmad
Sher
nafrato.n kaa aks bhii pa.Dne na denaa zehan par
ye a.ndheraa jaane kitno.n kaa ujaalaa khaa gayaa
Tufail Chaturvedi
Sher
aasmaano.n pe u.Do zehn me.n rakkho ki jo chiiz
KHaak se uThtii hai vo KHaak pe aa jaatii hai
Fartash Syed
Sher
kisii se zehn jo miltaa to guftuguu karte
hujuum-e-shahr me.n tanhaa the ham, bhaTak rahe the
Aziz Nabeel
Sher
ek bachcha zehn se paisa kamaane kii machine
duusraa kamzor thaa so yarGamaalii ho gayaa
Ahmad Shanas
Sher
saal-e-nau aataa hai to mahfuuz kar letaa huu.n mai.n
kuchh puraane se calender zehn kii diivaar par
Azad Gulati
Sher
ham apne zehn pe vo zaKHm sah chuke 'shaahid'
davaa.e.n jin kii zamaane ne ab nikaalii hai.n
Shahid Anwar
Sher
'vasiim' zehn banaate hai.n to vahii aKHbaar
jo le ke ek bhii achchhii KHabar nahii.n aate
Waseem Barelvi
Sher
zehn par bojh rahaa, dil bhii pareshaan hu.aa
in ba.De logo.n se mil kar ba.Daa nuqsaan hu.aa
Tariq Qamar
Sher
shahr kii bhii.D me.n shaamil hai akelaa-pan bhii
aaj har zehn hai tanhaa.ii kaa maaraa dekho
Hasan Najmi Sikandarpuri
Sher
zamiir o zehn me.n ik sard ja.ng jaarii hai
kise shikast duu.n aur kis pe fat.h paa.uu.n mai.n