SEARCH RESULTS
Showing search results for "ज़ौक़-ए-तमाशा-ए-जमाल"
Sher MATCHES FOR "ज़ौक़-ए-तमाशा-ए-जमाल"
Sher
umr sab zauq-e-tamaashaa me.n guzaarii lekin
aaj tak ye na khulaa kis ke talabgaar hai.n ham
Muztar Khairabadi
Sher
aa.nkho.n me.n liye jalva-e-naira.ng-e-tamaashaa
aa.ii hai KHizaa.n jashn-e-bahaaraa.n se guzar ke
Ali Jawad Zaidi
Sher
ye tamaashaa sar-e-baazaar nahii.n ho saktaa
har ko.ii meraa KHariidaar nahii.n ho saktaa
Masood Tanha
Sher
Imtiyaz Ahmad Qamar
Sher
ye tamaashaa diidanii Thahraa magar dekhegaa kaun
ho ga.e ham raakh to dast-e-du.aa raushan hu.aa
Faza Ibn e Faizi
Sher
thakan bahut thii magar saaya-e-shajar me.n 'jamaal'
mai.n baiThtaa to miraa ham-safar chalaa jaataa
Jamal Ehsani
Sher
ai 'zauq' dekh duKHtar-e-raz ko na mu.nh lagaa
chhuTtii nahii.n hai mu.nh se ye kaafar lagii hu.ii
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
be-KHatar kuud pa.Daa aatish-e-namruud me.n ishq
aql hai mahv-e-tamaashaa-e-lab-e-baam abhii
Allama Iqbal
Sher
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
ek patthar puujne ko shaiKH jii ka.abe ga.e
'zauq' har but qaabil-e-bosa hai is but-KHaane me.n
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
piir-e-muGaa.n ke paas vo daaruu hai jis se 'zauq'
naamard mard mard-e-javaa.n-mard ho gayaa
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
raahat ke vaaste hai mujhe aarzu-e-marg
ai 'zauq' gar jo chain na aayaa qazaa ke ba.ad
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
dil kii bisaat kyaa thii nigaah-e-jamaal me.n
ik aa.iina thaa TuuT gayaa dekh-bhaal me.n
Seemab Akbarabadi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
mujhe bhii fursat-e-nazzaara-e-jamaal na thii
aur us ko paas kisii aur ke bhii jaanaa thaa
Abrar Azmi
Sher
iid hai qatl miraa ahl-e-tamaashaa ke liye
sab gale milne lage jab ki vo jallaad aayaa