SEARCH RESULTS
Showing search results for "जुदाई"
Sher MATCHES FOR "जुदाई"
Sher
kis kis ko bataa.e.nge judaa.ii kaa sabab ham
tuu mujh se KHafaa hai to zamaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
ab judaa.ii ke safar ko mire aasaan karo
tum mujhe KHvaab me.n aa kar na pareshaan karo
Munawwar Rana
Sher
is qadar musalsal thii.n shiddate.n judaa.ii kii
aaj pahlii baar us se mai.n ne bevafaa.ii kii
Ahmad Faraz
Sher
thii vasl me.n bhii fikr-e-judaa.ii tamaam shab
vo aa.e to bhii nii.nd na aa.ii tamaam shab
Momin Khan Momin
Sher
ye Thiik hai nahii.n martaa ko.ii judaa.ii me.n
KHudaa kisii ko kisii se magar judaa na kare
Qateel Shifai
Sher
mai.n ne samjhaa thaa ki lauT aate hai.n jaane vaale
tuu ne jaa kar to judaa.ii mirii qismat kar dii
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
har mulaaqaat kaa anjaam judaa.ii kyuu.n hai
ab to har vaqt yahii baat sataatii hai hame.n
Shahryar
Sher
kaisaa firaaq kaisii judaa.ii kahaa.n kaa hijr
vo jaa.egaa agar to KHayaalo.n me.n aa.egaa
Anjum Khaleeq
Sher
Allama Iqbal
Sher
vo ham-safar thaa magar us se ham-navaa.ii na thii
ki dhuup chhaa.nv kaa aalam rahaa judaa.ii na thii
Naseer Turabi
Sher
kabhii kabhii to ye dil me.n savaal uThtaa hai
ki is judaa.ii me.n kyaa us ne paa liyaa hogaa
Anwar Anjum
Sher
Athar Nafees
Sher
is judaa.ii me.n tum andar se bikhar jaa.oge
kisii ma.azuur ko dekhoge to yaad aa.uu.ngaa