SEARCH RESULTS
Showing search results for "जुनून"
Sher MATCHES FOR "जुनून"
Sher
Shamim Abbas
Sher
hazaar manzil-e-Gam se guzar chuke lekin
abhii junuun-e-mohabbat kii ibtidaa bhii nahii.n
Ajmal Ajmali
Sher
ajab junuun hai ye intiqaam kaa jazba
shikast khaa ke vo paanii me.n zahr Daal aayaa
Azhar Inayati
Sher
Gam-e-jahaa.n ke taqaaze shadiid hai.n varna
junuun-e-kuucha-e-dildaar ham bhii rakhte hai.n
Qabil Ajmeri
Sher
khulii na mujh pe bhii diivaangii mirii barso.n
mire junuun kii shohrat tire bayaa.n se hu.ii
Faragh Rohvi
Sher
junuun-e-mohabbat yahaa.n tak to pahu.nchaa
ki tark-e-mohabbat kiyaa chaahtaa huu.n
Jigar Moradabadi
Sher
gar kiyaa naaseh ne ham ko qaid achchhaa yuu.n sahii
ye junuun-e-ishq ke andaaz chhuT jaave.nge kyaa
Mirza Ghalib
Sher
sabr kii takraar thii josh o junuun-e-ishq se
zindagii bhar dil mujhe mai.n dil ko samjhaataa rahaa
Aazim Kohli
Sher
dilkashii thii unsiyat thii yaa mohabbat yaa junuun
sab maraahil tujh se jo mansuub the achchhe lage
Alok Yadav
Sher
kyaa kohkan kii koh-kanii kyaa junuun-e-qais
vaadii-e-ishq me.n ye maqaam ibtidaa ke hai.n
Ismail Merathi
Sher
hasii.n hai shahr to ujlat me.n kyuu.n guzar jaa.e.n
junuun-e-shauq use bhii nihaal kar jaa.e.n
Dil Ayubi
Sher
baad-e-bahaar me.n sab aatish junuun kii hai
har saal aavatii hai garmii me.n fasl-e-holii
Wali Uzlat
Sher
KHirad nahii.n hai yahaa.n bas junuun kaa saudaa
ham is junuun se aage makaa.n banaate hai.n
Taleef Haidar
Sher
vo aa.e.nge to aa.e.nge junuun-e-shauq ubhaarne
vo jaa.e.nge to jaa.e.nge KHaraabiyaa.n kiye hu.e
Ada Jafarey
Sher
taariikiyo.n ke paar chamaktii hai ko.ii shai
shaayad mire junuun-e-safar kii uma.ng hai
Izhar Asar
Sher
Ajmal Siddiqui
Sher
jo raah ahl-e-KHirad ke liye hai laa-mahduud
junuun-e-ishq me.n vo chand gaam hotii hai
Ravish Siddiqi
Sher
zaruur hogii hame.n bhii nasiib lazzat-e-sang
junuun hai to use mo'atabar kiyaa jaa.e
Moid Rasheedi
Sher
junuun-e-qaafila-saazii tiraa qubuul magar
ye raah tang na ho jaa.e shahsavaaro.n par