SEARCH RESULTS
Showing search results for "जुरअत-ए-इज़हार"
Sher MATCHES FOR "जुरअत-ए-इज़हार"
Sher
fan kaa da.avaa hai to kuchh jur.at-e-iz.haar bhii ho
zeb detaa nahii.n fankaar ko buzdil honaa
Khalid Yusuf
Sher
kabhii mai.n jur.at-e-iz.haar-e-mudda.aa to karuu.n
ko.ii javaaz to ho lutf-e-be-sabab ke liye
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
tab.a kah aur Gazal, hai ye 'naziirii' kaa javaab
reKHta ye jo pa.Dhaa qaabil-e-iz.haar na thaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
aa.nkh lagtii nahii.n 'jur.at' mirii ab saarii raat
aa.nkh lagte hii ye kaisaa mujhe aazaar lagaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
dikhaa.ii kyuu.n dil-e-vahshii ko chashm vo 'jur.at'
sharaab aur divaane ko tuu pilaa laayaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
pursish-e-haal pe hai KHaatir-e-jaanaa.n maa.il
jur.at-e-koshish-e-iz.haar kahaa.n se laa.uu.n
Hasrat Mohani
Sher
yaa to kisii ko jur.at-e-diidaar hii na ho
yaa phir mirii nigaah se dekhaa kare ko.ii
Asrarul Haq Majaz
Sher
soch ko jur.at-e-parvaaz to mil lene do
ye zamii.n aur hame.n ta.ng dikhaa.ii degii
Qateel Shifai
Sher
jur.at-e-shauq to kyaa kuchh nahii.n kahtii lekin
paa.nv phailaane nahii.n detii hai chaadar mujh ko
Bismil Azimabadi
Sher
KHaamosh ho ga.ii.n jo uma.nge.n shabaab kii
phir jur.at-e-gunaah na kii ham bhii chup rahe
Hafeez Jalandhari
Sher
us lab se mil hii jaa.egaa bosa kabhii to haa.n
shauq-e-fuzuul o jur.at-e-rindaana chaahiye
Mirza Ghalib
Sher
ab agar ishq ke aasaar nahii.n badle.nge
ham bhii pairaaya-e-iz.haar nahii.n badle.nge
Aghaz Barni
Sher
betaabii-e-iz.haar ne yuu.n KHaak kiyaa hai
duzdiida-nigaahii ne mujhe chaak kiyaa hai
Farhat Abbas
Sher
chalo ki jazba-e-iz.haar chiiKH me.n to Dhalaa
kisii tarah ise aaKHir adaa bhii honaa thaa
Rajinder Manchanda Bani
Sher
'armaa.n' bas ek lazzat-e-iz.haar ke sivaa
miltaa hai kyaa KHayaal ko lafzo.n me.n Dhaal kar