SEARCH RESULTS
Showing search results for "जोशिश"
Sher MATCHES FOR "जोशिश"
Sher
dhyaan me.n us ke fanaa ho kar ko.ii mu.nh dekh le
dil vo aa.iina nahii.n jo har ko.ii mu.nh dekh le
Joshish Azimabadi
Sher
ahvaal dekh kar mirii chashm-e-pur-aab kaa
dariyaa se aaj TuuT gayaa dil habaab kaa
Joshish Azimabadi
Sher
chhup-chhup ke dekhte ho bahut us ko har kahii.n
hogaa Gazab jo pa.D ga.ii us kii nazar kahii.n
Joshish Azimabadi
Sher
kis tarah tujh se mulaaqaat mayassar hove
ye du.aa-go tiraa ne zor na zar rakhtaa hai
Joshish Azimabadi
Sher
ye sach hai ki auro.n hii ko tum yaad karoge
mere dil-e-naashaad ko kab shaad karoge
Joshish Azimabadi
Sher
allaah taa-qayaamat tujh ko rakhe salaamat
kyaa kyaa sitam na dekhe ham ne tire karam se
Joshish Azimabadi
Sher
husn aur ishq kaa mazkuur na hove jab tak
mujh ko bhaataa nahii.n sun.naa kisii afsaane kaa
Joshish Azimabadi
Sher
jo aa.nkho.n me.n phirtaa hai phire aa.nkho.n ke aage
aasaan KHudaa kar de ye dushvaar mohabbat
Joshish Azimabadi
Sher
ai zulf-e-yaar tujh se bhii aashufta-tar huu.n mai.n
mujh saa na ko.ii hogaa pareshaan-e-rozgaar
Joshish Azimabadi
Sher
phirte hai.n ka.ii qais se hairaan o pareshaan
is ishq kii sarkaar me.n bahbuud nahii.n hai
Joshish Azimabadi
Sher
daaG-e-jigar kaa apne ahvaal kyaa sunaa.uu.n
bharte hai.n us ke aage sham-o-charaaG paanii
Joshish Azimabadi
Sher
hamaare sher ko sun kar sukuut KHuub nahii.n
bayaan kiijiye is me.n jo kuchh ta.ammul ho
Joshish Azimabadi
Sher
sajda jise kare.n hai.n vo har-suu hai jalva-gar
jiidhar tiraa mizaaj ho uudhar namaaz kar
Joshish Azimabadi
Sher
kufr par mat ta.an kar ai shaiKH mere ruu-ba-ruu
mujh ko hai ma.aluum kaifiyyat tire islaam kii
Joshish Azimabadi
Sher
ham ko to yaad nahii.n ham pe jo guzrii tujh bin
tere aage kahe jis ko ye kahaanii aa.e
Joshish Azimabadi
Sher
ta.ana-zan kufr pe hotaa hai abas ai zaahid
but-parastii hai tire zohd-e-riyaa se behtar