SEARCH RESULTS
Showing search results for "टूटी"
Sher MATCHES FOR "टूटी"
Sher
qismat to dekh TuuTii hai jaa kar kahaa.n kamand
kuchh duur apne haath se jab baam rah gayaa
Qayem Chaandpuri
Sher
muntazir kis kaa huu.n TuuTii hu.ii dahliiz pe mai.n
kaun aa.egaa yahaa.n kaun hai aane vaalaa
Ahmad Faraz
Sher
nii.nd TuuTii hai to ehsaas-e-ziyaa.n bhii jaagaa
dhuup diivaar se aa.ngan me.n utar aa.ii hai
Sarshar Siddiqui
Sher
rindo.n ke haath se nahii.n TuuTii ye saaqiyaa
nashshe me.n chuur ho ga.ii botal sharaab kii
Jaleel Manikpuri
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
Khushbir Singh Shaad
Sher
dhuup kii TuuTii hu.ii taKHtii pe baarish ne likhaa
ghar ke andar baiTh kar mausam kaa andaaza na kar
Aziz Nabeel
Sher
itnaa bhii baar-e-KHaatir-e-gulshan na ho ko.ii
TuuTii vo shaaKH jis pe miraa aashiyaana thaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
tumhaare jism kaa suuraj jahaa.n jahaa.n TuuTaa
vahii.n vahii.n mirii zanjiir-e-jaa.n bhii TuuTii hai
Makhdoom Mohiuddin
Sher
bahut dino.n me.n mire ghar kii KHaamushii TuuTii
KHud apne-aap se ik din kalaam mai.n ne kiyaa
Saud Usmani
Sher
Shahryar
Sher
shumaar mai.n na karuu.ngaa firaaq ke shab o roz
vahii.n se baat chalegii jahaa.n se TuuTii thii
Shahzad Ahmad
Sher
ye ja.ng jiit hai kis kii ye haar kis kii hai
ye faisla mirii TuuTii kamaan se hogaa
Taimur Hasan
Sher
sahar hote hii ko.ii ho gayaa ruKHsat gale mil kar
fasaane raat ke kahtii rahii TuuTii hu.ii chuu.Dii
Ejaz Obaid
Sher
pahchaan lo us ko vahii qaatil hai hamaaraa
jis haath me.n TuuTii hu.ii talvaar lage hai
Wamiq Jaunpuri
Sher
Ishrat Qadri
Sher
TuuTii hai ye kashtii to mire saath safar ko
vo jaan-e-masaafat miraa tayyaar hu.aa hai