SEARCH RESULTS
Showing search results for "टोकरी"
Sher MATCHES FOR "टोकरी"
Sher
ab jaan jism-e-KHaakii se ta.ng aa ga.ii bahut
kab tak is ek Tokarii miTTii ko Dho.iye
Meer Taqi Meer
Sher
u.D jaa.uu.ngaa bahaar me.n maanind-e-buu-e-gul
zanjiir mere paa-e-junuu.n me.n hazaar Daal
Raunaq Tonkvi
Sher
aaj qaatil kaa gale par mire KHanjar chamkaa
lillaahil-hamd ki meraa bhii muqaddar chamkaa
Raunaq Tonkvi
Sher
milii to un se magar fursat-e-nazar na milii
phir us ke baa'd KHud apnii hame.n KHabar na milii
Saib Tonki
Sher
aa tujhe merii qasam mushkil mirii aasaan kar
ziist kaa har marhala dushvaar hai tere baGair
Saib Tonki
Sher
dariyaa pe Tiikrii se pare KHaanqaah thii
tab tere mere pyaar kii duniyaa gavaah thii
Nasir Shahzad
Sher
nigaah me.n ko.ii manzil na ko.ii samt-e-safar
havaa KHamosh hai kashtii kaa baadbaa.n chup hai
Saib Tonki
Sher
qadam ba.Dhaa ki abhii duur hai tirii manzil
shikast-e-aabla-paa.ii hai KHaar kii had tak
Saib Tonki
Sher
kisii gul ko jo apnaa turra-e-dastaar samjhe ham
to barso.n Tokraa sar par uThaayaa sargiraanii kaa
Imdad Ali Bahr
Sher
daa.Dhii kaa naam le ke hame.n kyo.n ho Toktii
daa.Dhii ko.ii break hai jo cycle ko roktii