SEARCH RESULTS
Showing search results for "ठिकाने"
Sher MATCHES FOR "ठिकाने"
Sher
ho jaa.e jahaa.n shaam vahii.n un kaa baseraa
aavaara parindo.n ke Thikaane nahii.n hote
Makhmoor Saeedi
Sher
uTh kar tire dar se kahii.n jaane ke nahii.n ham
mohtaaj kisii aur Thikaane ke nahii.n ham
Rasheed Rampuri
Sher
teraa kuucha tiraa dar terii galii kaafii hai
be-Thikaano.n ko Thikaane kii zaruurat kyaa hai
Shahid Kabir
Sher
ye zindagii bhii ko.ii zindagii hu.ii 'bismil'
na ro sake na kabhii ha.ns sake Thikaane se
Bismil Azimabadi
Sher
din saliiqe se ugaa raat Thikaane se rahii
dostii apnii bhii kuchh roz zamaane se rahii
Nida Fazli
Sher
ham to vahaa.n pahu.nch nahii.n sakte tamaam umr
aa.nkho.n ne itnii duur Thikaane banaa.e hai.n
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
rakh qadam hoshyaar ho kar ishq kii manzil me.n aah
jo hu.aa is raah me.n Gaafil Thikaane lag gayaa
Shah Naseer
Sher
KHabar ke mo.D pe sa.ng-e-nishaa.n thii be-KHabarii
Thikaane aa.e mire hosh yaa Thikaane lage
Abdul Ahad Saaz
Sher
ab tak bhii mere hosh Thikaane nahii.n hu.e
'saalik' kaa haal raat ko aisaa sunaa ki bas
Qurban Ali Salik Beg
Sher
aaKHir ko raahbar ne Thikaane lagaa diyaa
KHud apnii raah lii mujhe rasta bataa diyaa
Natiq Gulavthi
Sher
pahu.nchaa.egaa nahii.n tuu Thikaane lagaa.egaa
ab us galii me.n Gair ko rahbar banaa.e.nge
Natiq Gulavthi
Sher
ba.ad marne ke Thikaane lag ga.ii miTTii mirii
KHaak se aashiq kii kyaa kyaa yaar ke saaGar bane