SEARCH RESULTS
Showing search results for "डर"
Sher MATCHES FOR "डर"
Sher
dil ko tirii chaahat pe bharosa bhii bahut hai
aur tujh se bichha.D jaane kaa Dar bhii nahii.n jaataa
Ahmad Faraz
Sher
ek muddat se mirii maa.n nahii.n so.ii 'taabish'
mai.n ne ik baar kahaa thaa mujhe Dar lagtaa hai
Abbas Tabish
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
mujhe ye Dar hai tirii aarzuu na miT jaa.e
bahut dino.n se tabii.at mirii udaas nahii.n
Nasir Kazmi
Sher
Dar ham ko bhii lagtaa hai raste ke sannaaTe se
lekin ek safar par ai dil ab jaanaa to hogaa
Javed Akhtar
Sher
mil ke hotii thii kabhii eid bhii diivaalii bhii
ab ye haalat hai ki Dar Dar ke gale milte hai.n
Unknown
Sher
ai dost mai.n KHaamosh kisii Dar se nahii.n thaa
qaa.il hii tirii baat kaa andar se nahii.n thaa
Rajinder Manchanda Bani
Sher
Mohsin Naqvi
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
yahii milne kaa samay bhii hai bichha.Dne kaa bhii
mujh ko lagtaa hai bahut apne se Dar shaam ke baad
Krishn Bihari Noor
Sher
Idris Babar
Sher
mai.n Dar rahaa huu.n tumhaarii nashiilii aa.nkho.n se
ki luuT le.n na kisii roz kuchh pilaa ke mujhe
Jaleel Manikpuri
Sher
har taraf thii KHaamoshii aur aisii KHaamoshii
raat apne saa.e se ham bhii Dar ke ro.e the