SEARCH RESULTS
Showing search results for "तक़ाज़े"
Sher MATCHES FOR "तक़ाज़े"
Sher
tum se ulfat ke taqaaze na nibaahe jaate
varna ham ko bhii tamannaa thii ki chaahe jaate
Shaanul Haq Haqqi
Sher
vo lamha bhar kii kahaanii ki umr bhar me.n kahii
abhii to KHud se taqaaze the iKHtisaar ke bhii
Mohsin Naqvi
Sher
fitrat ke taqaaze kabhii badle nahii.n jaate
KHushbuu hai agar vo to bikharnaa hii pa.Degaa
Ejaz Rahmani
Sher
Gam-e-jahaa.n ke taqaaze shadiid hai.n varna
junuun-e-kuucha-e-dildaar ham bhii rakhte hai.n
Qabil Ajmeri
Sher
go tuu miltaa nahii.n par dil ke taqaaze se ham
roz ho aate hai.n sau baar tire kuuche me.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
zamii.n ke aur taqaaze falak kuchh aur kahe
qalam bhii chup hai ki ab mo.D le kahaanii kyaa
Azra Parveen
Sher
lahuu kaa aaKHirii qatra nicho.Dne par bhii
taqaaze re.ngte rahte hai.n ra.ng-o-buu ke liye
Badr Wasti
Sher
kuchh badan ke the taqaaze kuchh sharaarat dil kii thii
aaj lekin ishq apnaa jaavedaa.n hone ko thaa
Abdul Mannan Samadi
Sher
mujh ko ye aarzuu vo uThaa.e.n naqaab KHud
un ko ye intizaar taqaazaa kare ko.ii
Asrarul Haq Majaz
Sher
chand alfaaz ke motii hai.n mire daaman me.n
hai magar terii mohabbat kaa taqaazaa kuchh aur
Amir Usmani
Sher
mai.n bistar-e-KHayaal pe leTaa huu.n us ke paas
sub.h-e-azal se ko.ii taqaazaa kiye baGair
Jaun Eliya
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
be-uzr vo kar lete hai.n va.ada ye samajh kar
ye ahl-e-muravvat hai.n taqaazaa na kare.nge