SEARCH RESULTS
Showing search results for "तजरबा"
Sher MATCHES FOR "तजरबा"
Sher
bichha.D ke tujh se kisii duusre pe marnaa hai
ye tajraba bhii isii zindagii me.n karnaa hai
Asad Badayuni
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
ajiib tajraba thaa bhii.D se guzarne kaa
use bahaana milaa mujh se baat karne kaa
Rajinder Manchanda Bani
Sher
ab samajh lete hai.n miiThe lafz kii ka.DvaahaTe.n
ho gayaa hai zindagii kaa tajraba tho.Daa bahut
Manzar Bhopali
Sher
jabhii to umr se apnii ziyaada lagtaa huu.n
ba.Daa hai mujh se ka.ii saal tajraba meraa
Muzaffar Warsi
Sher
ham ne tumhaare baad na rakkhii kisii se aas
ik tajraba bahut thaa ba.De kaam aa gayaa
Abdul Hamid Adam
Sher
Yasmeen Habeeb
Sher
sabaq milaa hai ye apno.n kaa tajraba kar ke
vo log phir bhii Ganiimat hai.n jo paraa.e hai.n
Amir Usmani
Sher
hamaare qatl se qaatil ko tajraba ye hu.aa
lahuu lahuu bhii hai meh.ndii bhii hai sharaab bhii hai
Kaleem Aajiz
Sher
miraa tajraba hai ki is zindagii me.n
pareshaaniyaa.n hii pareshaaniyaa.n hai.n
Hafeez Jalandhari
Sher
ye tajraba hu.aa hai mohabbat kii raah me.n
kho kar milaa jo ham ko vo paa kar nahii.n milaa
Hastimal Hasti
Sher
'baasir' tumhe.n yahaa.n kaa abhii tajraba nahii.n
biimaar ho? pa.De raho, mar bhii ga.e to kyaa
Basir Sultan Kazmi
Sher
is daur-e-naa-muraad se ye tajraba hu.aa
diivaar guftuguu ke liye behtariin hai
Rana Amir Liyaqat
Sher
'sadaa' ke paas hai duniyaa kaa tajraba vaa.iz
tumhaarii baat me.n bas falsafa kitaab kaa hai
Sada Ambalvi
Sher
kisii KHayaal kaa ko.ii vajuud ho shaayad
badal rahaa huu.n mai.n KHvaabo.n ko tajraba kar ke