SEARCH RESULTS
Showing search results for "तदब्बुर"
Sher MATCHES FOR "तदब्बुर"
Sher
dilo.n ke biich kii diivaar gir bhii saktii thii
kisii ne kaam liyaa hii nahii.n tadabbur se
Nusrat Gwaliari
Sher
tadbiir se qismat kii buraa.ii nahii.n jaatii
big.Dii hu.ii taqdiir banaa.ii nahii.n jaatii
Dagh Dehlvi
Sher
tadbiir mere ishq kii kyaa faa.eda tabiib
ab jaan hii ke saath ye aazaar jaa.egaa
Meer Taqi Meer
Sher
paa-ba-gil sab hai.n rihaa.ii kii kare tadbiir kaun
dast-basta shahr me.n khole mirii zanjiir kaun
Parveen Shakir
Sher
na to kuchh fikr me.n haasil hai na tadbiir me.n hai
vahii hotaa hai jo insaan kii taqdiir me.n hai
Hairat Allahabadi
Sher
Hafeez Banarasi
Sher
jis zaKHm kii ho saktii ho tadbiir rafuu kii
likh diijiyo yaa rab use qismat me.n aduu kii
Mirza Ghalib
Sher
sirf is takabbur me.n us ne mujh ko jiitaa thaa
zikr ho na us kaa bhii kal ko naa-rasaa.o.n me.n
Parveen Shakir
Sher
suurat-e-vasl nikaltii kisii tadbiir ke saath
merii tasviir hii khi.nchtii tirii tasviir ke saath
Unknown
Sher
mujh ko saadaat kii nisbat ke sabab mere KHudaa
aajizii denaa takabbur kii adaa mat denaa
Seen Sheen Alam
Sher
kuchh is ke sa.nvar jaane kii tadbiir nahii.n hai
duniyaa hai tirii zulf-e-girah-giir nahii.n hai
Hafeez Banarasi
Sher
ko.ii tadbiir na taqdiir se lenaa-denaa
bas yuu.nhii faisle jo hone hai.n ho jaate hai.n
Ameeta Parsuram Meeta
Sher
tum sitaaro.n ke bharose pe na baiThe rahnaa
apnii tadbiir se taqdiir banaate jaa.o
Sada Ambalvi
Sher
mai.n jaa.n-ba-lab huu.n ai taqdiir tere haatho.n se
ki tere aage mirii kuchh na chal sakii tadbiir
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
ye to maanaa ki tire bas me.n hai saarii duniyaa
tuu mire bas me.n ho aisii ko.ii tadbiir bhii hai
Jaleel Manikpuri
Sher
Ilyas Ishqi
Sher
jaan dene ke sivaa aur bhii tadbiir karuu.n
varna ye baat to ham us se sadaa kahte hai.n