SEARCH RESULTS
Showing search results for "तफ़्सीर"
Sher MATCHES FOR "तफ़्सीर"
Sher
Iqbal Ashhar Quraishi
Sher
is tarah husn-o-mohabbat kii karo tum tafsiir
mujh ko aa.iina kaho aur unhe.n tasviir kaho
Wahid Premi
Sher
samajh me.n aa.egii tafsiir-e-zindagii kyaa KHaak
ki harf-e-shauq hai ijmaal be-dilii tafsiil
Asrar Narvi
Sher
us ne jaltii hu.ii peshaanii pe jab haath rakhaa
ruuh tak aa ga.ii taasiir masiihaa.ii kii
Parveen Shakir
Sher
bevafaa kuchh nahii.n terii taqsiir
mujh ko merii vafaa hii raas nahii.n
Sayyad Mohammad Meer Asar
Sher
kisii ke lams kii taasiir hai ki barso.n ba.ad
mirii kitaabo.n me.n ab bhii gulaab jaagte hai.n
Akhlaque Bandvi
Sher
vahii to markazii kirdaar hai kahaanii kaa
usii pe KHatm hai taasiir bevafaa.ii kii
Iqbal Ashhar
Sher
itnii to diid-e-ishq kii taasiir dekhiye
jis samt dekhiye tirii tasviir dekhiye
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
Anjum Khaleeq
Sher
jise bhii dost banaayaa vo ban gayaa dushman
ye ham ne kaun sii taqsiir kii sazaa paa.ii
Farhat Abbas
Sher
daavar-e-hashr miraa naama-e-a.amaal na dekh
is me.n kuchh parda-nashiino.n ke bhii naam aate hai.n
Mohammad Deen Taseer
Sher
merii armaan bharii aa.nkh kii taasiir hai ye
jis ko mai.n pyaar se dekhuu.ngaa vahii tuu hogaa
Muztar Khairabadi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
ho gayaa zard pa.Dii jis pe hasiino.n kii nazar
ye ajab gul hai.n ki taasiir-e-KHizaa.n rakhte hai.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
lab se sunaa.uu.n haal kyaa dil kaa mire habiib
lab kaa ye mas.ala hai ki lab muskuraate hai.n
Taseer Siddiqui
Sher
maa.ngtii hai ab mohabbat apne hone kaa subuut
aur mai.n jaataa nahii.n iz.haar kii tafsiil me.n
Alam Khursheed
Sher
likh ke rakh detaa huu.n alfaaz sabhii kaaGaz par
lafz KHud bol ke taasiir banaa lete hai.n