SEARCH RESULTS
Showing search results for "तर्क-ए-तअल्लुक़"
Sher MATCHES FOR "तर्क-ए-तअल्लुक़"
Sher
'faraaz' tark-e-ta.alluq to KHair kyaa hogaa
yahii bahut hai ki kam kam milaa karo us se
Ahmad Faraz
Sher
ye baat tark-e-ta.alluq ke baa'd ham samjhe
kisii se tark-e-ta.alluq bhii ik ta'alluq hai
Unknown
Sher
dekhaa mujhe to tark-e-ta.alluq ke baavajuud
vo muskuraa diyaa ye hunar bhii usii kaa thaa
Ahmad Faraz
Sher
mushkil thaa bahut mere liye tark-e-ta.alluq
ye kaam bhii tum ne miraa aasaan kiyaa hai
Afzaal Firdaus
Sher
daf.atan tark-e-ta.alluq me.n bhii rusvaa.ii hai
uljhe daaman ko chhu.Daate nahii.n jhaTkaa de kar
Arzoo Lakhnavi
Sher
zido.n me.n tark-e-ta.alluq to kar liyaa lekin
sukuu.n use bhii nahii.n be-qaraar mai.n bhii hai.n
Unknown
Sher
sukuut tark-e-ta.alluq kaa ik garaa.n lamha
banaa gayaa hai sadaa.o.n kaa silsila mujh ko
Ameeq Hanafi
Sher
mai.n ne kyuu.n tark-e-ta.alluq kii jasaarat kii hai
tum agar Gaur karoge to pashiimaa.n hoge
Ameer Qazalbash
Sher
ham se agar hai tark-e-ta.alluq to kyaa hu.aa
yaaro ko.ii to un kii KHabar puuchhte chalo
Sahir Ludhianvi
Sher
bahaane tark-e-ta.alluq ke kis ne Dhuu.nDe the
ye saare halqa-e-yaaraa.n me.n faisle ho.nge
Masood Tanha
Sher
mujhe manzuur gar tark-e-ta'alluq hai razaa terii
magar TuuTegaa rishta dard kaa aahista aahista
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
yuu.n tark-e-ta.alluq kii qasam khaa.e hu.e ho.n
jaise mire siine me.n kisii aur kaa dil hai
Shahzad Ahmad
Sher
mai.n hii Gamgiin nahii.n tark-e-ta.alluq pe 'kamaal'
vo bhii naashaad thaa us ko bhii fasurda dekhaa
Bagh Husain Kamal
Sher
Unwan Chishti
Sher
mai.n tark-e-ta.alluq pe bhii aamaada huu.n lekin
tuu bhii to miraa qarz-e-Gam-e-hijr adaa kar
Hasan Abbas Raza
Sher
mai.n tark-e-ta.alluq par zinda huu.n so mujrim huu.n
kaash us ke liye jiitaa apne liye mar jaataa
Azm Bahzad
Sher
Ateeq Anzar
Sher
na socho tark-e-ta.alluq ke mo.D par ruk kar
qadam ba.Dhaa.o ki ye haadsa zaruurii hai