SEARCH RESULTS
Showing search results for "तर्क-ए-तअल्लुक़ात"
Sher MATCHES FOR "तर्क-ए-तअल्लुक़ात"
Sher
tark-e-ta.alluqaat pe royaa na tuu na mai.n
lekin ye kyaa ki chain se soyaa na tuu na mai.n
Khalid Ahmad
Sher
tark-e-ta.alluqaat KHud apnaa qusuur thaa
ab kyaa gila ki un ko hamaarii KHabar nahii.n
Gopal Mittal
Sher
tark-e-ta.alluqaat me.n mahjuur to hu.e
lekin KHayaal-o-KHvaab me.n vo ruu-ba-ruu rahe
Khan Rizwan
Sher
tark-e-ta.alluqaat pe raazii nahii.n huu.n mai.n
ya.anii tumhaarii baat pe raazii nahii.n huu.n mai.n
Mahwar Sirsivi
Sher
tark-e-ta.alluqaat ko ik lamha chaahiye
lekin tamaam umr mujhe sochnaa pa.Daa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
tark-e-ta.alluqaat kii bas intihaa na puuchh
ab ke to mai.n ne tark kiyaa apne aap ko
Irfan Ahmad
Sher
tark-e-ta.alluqaat kaa kuchh un ko Gam nahii.n
ham to shikast-e-ahd-e-vafaa se maluul hai.n
Muhammad Ayyub Zauqi
Sher
talKHii ke saath kiije na tark-e-ta'alluqaat
chubhtaa rahegaa varna ye lahja tamaam 'umr
Ali Asar Bandvi
Sher
mai.n us ke saamne se guzartaa huu.n is liye
tark-e-ta.alluqaat kaa ehsaas mar na jaa.e
Fana Nizami Kanpuri
Sher
Ibn e Insha
Sher
ik lafz yaad thaa mujhe tark-e-vafaa magar
bhuulaa hu.aa huu.n Thokare.n khaane ke baa'd bhii
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Sher
ye baat tark-e-ta.alluq ke baa'd ham samjhe
kisii se tark-e-ta.alluq bhii ik ta'alluq hai
Unknown
Sher
'faraaz' tark-e-ta.alluq to KHair kyaa hogaa
yahii bahut hai ki kam kam milaa karo us se
Ahmad Faraz
Sher
mushkil thaa bahut mere liye tark-e-ta.alluq
ye kaam bhii tum ne miraa aasaan kiyaa hai
Afzaal Firdaus
Sher
daf.atan tark-e-ta.alluq me.n bhii rusvaa.ii hai
uljhe daaman ko chhu.Daate nahii.n jhaTkaa de kar
Arzoo Lakhnavi
Sher
dekhaa mujhe to tark-e-ta.alluq ke baavajuud
vo muskuraa diyaa ye hunar bhii usii kaa thaa