SEARCH RESULTS
Showing search results for "तलाश-ए-रिज़्क़"
Sher MATCHES FOR "तलाश-ए-रिज़्क़"
Sher
talaash-e-rizq kaa ye marhala ajab hai ki ham
gharo.n se duur bhii ghar ke liye base hu.e hai.n
Arif Imam
Sher
talaash-e-ma.ani-e-maqsuud itnii sahl na thii
mai.n lafz lafz utartaa gayaa bahut gahraa
Faza Ibn e Faizi
Sher
mai.n aa.ndhiyo.n ke paas talaash-e-sabaa me.n huu.n
tum mujh se puuchhte ho miraa hausla hai kyaa
Ada Jafarey
Sher
mai.n bhii talaash-e-aab-e-havas me.n niklaa huu.n
shor sunaa thaa ik chashme ke ubalne kaa
Prem Kumar Nazar
Sher
talaash-e-laa-makaa.n me.n u.D rahaa huu.n
magar mujh se makaa.n lipTaa hu.aa hai
Arshad Mahmood Nashad
Sher
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
Sher
George Puech Shor
Sher
suKHanvarii se hai maqsuud ma.arifat fan kii
mai.n be-hunar huu.n talaash-e-hunar me.n rahtaa huu.n
Sultan Rashk
Sher
mai.n yuu.n talaash-e-yaar me.n diivaana ho gayaa
ka.abe me.n paa.nv rakkhaa to but-KHaana ho gayaa
Abdul Hamid Adam
Sher
Jagan Nath Azad
Sher
dair-o-haram ko dekh liyaa KHaak bhii nahii.n
bas ai talaash-e-yaar na dar-dar phiraa mujhe
Bekhud Badayuni
Sher
Imdad Ali Bahr
Sher
George Puech Shor
Sher
fikr-e-suKHan talaash-e-ma.aash o KHayaal-e-yaar
Gam kam hu.aa to haa.n dil-e-be-Gam se hovegaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
kahaa.n ke naam o nasab ilm kyaa faziilat kyaa
jahaan-e-rizq me.n tauqiir-e-ahl-e-haajat kyaa
Iftikhar Arif
Sher
ye bhii hu.aa ki dar na tiraa kar sake talaash
ye bhii hu.aa ki ham tire dar se guzar ga.e
Nisar Itavi
Sher
ik vaqt thaa ki dil ko sukuu.n kii talaash thii
aur ab ye aarzuu hai ki dard-e-nihaa.n rahe
Aziz Warsi
Sher
kii dil ne dil-baraan-e-jahaa.n kii bahut talaash
ku.i dil-rubaa milaa hai na dil-KHvaah kyaa kare