SEARCH RESULTS
Showing search results for "तल्क़ीन-ए-सब्र"
Sher MATCHES FOR "तल्क़ीन-ए-सब्र"
Sher
maa.ngne par kyaa na degaa taaqat-e-sabr-o-sukuun
jis ne be maa.nge ataa kar dii pareshaanii mujhe
Manzar Lakhnavi
Sher
havaa-e-kuufa-e-naa-mehrbaa.n ko hairat hai
ki log KHema-e-sabr-o-razaa me.n zinda hai.n
Irfan Siddiqi
Sher
daaman-e-sabr ke har taar se uThtaa hai dhu.aa.n
aur har zaKHm pe ha.ngaama uThaa aaj bhii hai
Baqar Mehdi
Sher
aastiin-e-sabr se baahar na niklegaa agar
hogii dast-e-Gaib kii suurat hamaare haath me.n
Muneer Shikohabadi
Sher
kisii ke vaada-e-sabr-aazmaa kii KHair ki ham
ab e'tibaar kii had se guzarte jaate hai.n
Raaz Muradabadi
Sher
Azm Bahzad
Sher
dard tuu mere paas se marte talak na jaa.iyo
taaqat-e-sabr ho na ho taab-o-qaraar ho na ho
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
is shaan kaa aashufta-o-hairaa.n na milegaa
aa.iine se fursat ho to tasviir-e-'sabaa' dekh
Saba Akbarabadi
Sher
shaayad ki vo vaaqif nahii.n aadaab-e-safar se
paanii me.n jo qadmo.n ke nishaa.n Dhuu.nD rahaa thaa
Sahar Ansari
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
lafzo.n ko e'timaad kaa lahja bhii chaahiye
zikr-e-sahar bajaa hai yaqiin-e-sahar bhii hai
Mohsin Bhopali
Sher
laakh aaftaab paas se ho kar guzar ga.e
ham baiThe intizaar-e-sahar dekhte rahe