SEARCH RESULTS
Showing search results for "तहक़ीर"
Sher MATCHES FOR "तहक़ीर"
Sher
zabaa.n KHaamosh magar nazro.n me.n ujaalaa dekhaa
us kaa iz.haar-e-mohabbat bhii niraalaa dekhaa
Tauqeer Ahmad
Sher
tahriir se varna mirii kyaa ho nahii.n saktaa
ik tuu hai jo lafzo.n me.n adaa ho nahii.n saktaa
Waseem Barelvi
Sher
varaq varaq tujhe tahriir kartaa rahtaa huu.n
mai.n zindagii tirii tash.hiir kartaa rahtaa huu.n
Raeesuddin Raees
Sher
aa.nkh rakhte ho to us aa.nkh kii tahriir pa.Dho
mu.nh se iqraar na karnaa to hai aadat us kii
Shahzad Ahmad
Sher
vazn har chiiz kii tauqiir ba.Dhaa detaa hai
zindagii bojh sahii phir bhii uThaa.e rakhiye
Taj Bhopali
Sher
saarii izzat naukrii se is zamaane me.n hai 'mehar'
jab hu.e be-kaar bas tauqiir aadhii rah ga.ii
Hatim Ali Mehr
Sher
umr bhar likhte rahe phir bhii varaq saada rahaa
jaane kyaa lafz the jo ham se na tahriir hu.e
Sabir Zafar
Sher
har soch me.n sa.ngiin fazaa.o.n kaa fasaana
har fikr me.n shaamil hu.aa tahriir kaa maatam
Karamat Bukhari
Sher
KHud Galat hai jo kahe hotii hai taqdiir Galat
kahii.n qismat kii bhii ho saktii hai tahriir Galat
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
jaise viiraan havelii me.n ho.n KHaamosh charaaG
ab guzartii hai.n tire shahr me.n shaame.n aisii
Tauqeer Taqi
Sher
ab zamaane me.n mohabbat hai tamaashe kii tarah
is tamaashe se bahaltaa nahii.n tuu bhii mai.n bhii
Tauqeer Taqi
Sher
sabz pe.Do.n ko pata tak nahii.n chaltaa shaayad
zard patte bhare manzar se nikal jaate hai.n
Tauqeer Taqi
Sher
tauqiir a.ndhero.n kii ba.Dhaa dii ga.ii shaayad
ik sham.a jo raushan thii bujhaa dii ga.ii shaayad