SEARCH RESULTS
Showing search results for "तह-ए-ज़ुल्फ़-ए-दार"
Sher MATCHES FOR "तह-ए-ज़ुल्फ़-ए-दार"
Sher
ruKH tah-e-zulf hai aur zulf pareshaa.n sar par
maa.ng baalo.n me.n nahii.n hai ye numaayaa.n sar par
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
rahne de zikr-e-KHam-e-zulf-e-musalsal ko nadiim
us ke to dhyaan se bhii hotaa hai dil ko uljhaa.o
Dattatriya Kaifi
Sher
dil ko ai ishq suu-e-zulf-e-siyah-faam na bhej
rahzano.n me.n tuu musaafir ko sar-e-shaam na bhej
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
ye zulf-e-yaar bhii kyaa bijliyo.n kaa jhurmuT hai
KHudaayaa KHair ho ab mere aashiyaane kii
Razi Raziuddin
Sher
KHayaal-e-zulf-e-dotaa me.n 'nasiir' piiTaa kar
gayaa hai saa.np nikal tuu lakiir piiTaa kar
Shah Naseer
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
saudaa-e-zulf-e-yaar me.n hai talKH zindagii
ye zahr ham ne mol liyaa saa.np paal ke
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
rotaa huu.n mai.n tasavvur-e-zulf-e-siyaah me.n
paanii baras rahaa hai jame hai.n ghaTaa ke ra.ng
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
sarv ko dekh ke kahtaa hai dil-e-basta-e-zulf
ham giraftaar hai.n is baaG me.n aazaad hai.n sab
Amanat Lakhnavi
Sher
jahaa.n me.n ho ga.ii naa-haq tirii jafaa badnaam
kuchh ahl-e-shauq ko daar-o-rasan se pyaar bhii hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
salaam un pe tah-e-teG bhii jinho.n ne kahaa
jo teraa hukm jo terii razaa jo tuu chaahe
Majeed Amjad
Sher
aahaT bhii agar kii to tah-e-zaat nahii.n kii
lafzo.n ne ka.ii din se ko.ii baat nahii.n kii
Javed Nasir
Sher
neze kii nok teraa tah-e-dil se shukriya
ab tak giraa nahii.n hai miraa sar zamiin par
Usman Minai
Sher
tah-e-aariz jo farozaa.n hai.n hazaaro.n sham.e.n
lutf-e-iqraar hai yaa shoKHii-e-inkaar kaa rang
Ali Sardar Jafri
Sher
paivasta gard-e-dasht rahii gar tah-e-daruu.n
aayaa hai jism-e-qais agar pairahan ke biich