SEARCH RESULTS
Showing search results for "तह-ओ-बाला"
Sher MATCHES FOR "तह-ओ-बाला"
Sher
baat karne me.n jo lab us ke hu.e zer-o-zabar
ek saa.at me.n tah-o-baalaa zamaana ho gayaa
Bhartendu Harishchandra
Sher
hamaare ishq se dard-e-jahaa.n ibaarat hai
hamaaraa ishq havas se buland-o-baalaa hai
Zaheer Kashmiri
Sher
tag-o-taaz-e-paiham hai miiraas-e-aadam
mire muntazir kuchh jahaa.n aur bhii hai.n
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
apnaa har andaaz aa.nkho.n ko tar-o-taaza lagaa
kitne din ke baa'd mujh ko aa.iina achchhaa lagaa
Zehra Nigaah
Sher
is pe hairaa.n hai.n KHariidaar ki qiimat hai bahut
mere gauhar kii tab-o-taab nahii.n dekhte hai.n
Anees Ashfaq
Sher
havas-e-gul ke tasavvur me.n bhii khaTkaa na rahaa
ajab aaraam diyaa be-par-o-baalii ne mujhe
Mirza Ghalib
Sher
vo mile to be-takalluf na mile to be-iraada
na tariiq-e-aashnaa.ii na rusuum-e-jaam-o-baadaa
Mohammad Deen Taseer
Sher
Aftab Hussain
Sher
mujhe tasliim hai qaid-e-qafas se maut behtar hai
nasheman par hujuum-e-barq-o-baaraa.n kaun dekhegaa
Anwar Sabri
Sher
vo kuucha sher-o-suKHan kaa hai ta.ng-o-taar ai 'bahr'
ki suujhte nahii.n ma.anii ba.De zahiino.n ko
Imdad Ali Bahr
Sher
Wasif Dehlvi
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
zulf o abruu ne to ai jaan thaa baa.ndhaa maaraa
par tirii chashm ne kar ke mujhe be-jaa.n chho.Daa
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
sad mausam-e-gul ham ko tah-e-baal hii guzre
maqduur na dekhaa kabhuu be-baal-o-parii kaa
Meer Taqi Meer
Sher
na sahii jism magar KHaak to u.Dtii phirtii
kaash jalte na kabhii baal-o-par-e-parvaana
Shahzad Ahmad
Sher
asiir kar ke hame.n hukm de gayaa sayyaad
qafas ho ta.ng to un ke na baal-o-par rakhnaa