SEARCH RESULTS
Showing search results for "तामील"
Sher MATCHES FOR "तामील"
Sher
kisii darvesh ke hujre se abhii aayaa huu.n
so tire hukm kii taamiil nahii.n karnii mujhe
Ahmad Khayal
Sher
ai mire muunis o Gam-KHvaar mujhe marne de
baat ab hukm kii ta.amiil tak aa pahu.nchii hai
Misdaque Azmi
Sher
fazaa me.n chup kii siyaahii ghulii hai aaj kii raat
lahuu se hukm kii ta.amiil hone vaalii hai
Moid Rasheedi
Sher
ghar kii ta.amiir tasavvur hii me.n ho saktii hai
apne naqshe ke mutaabiq ye zamii.n kuchh kam hai
Shahryar
Sher
Obaidur Rahman
Sher
nasheman par nasheman is qadar taa'miir kartaa jaa
ki girte girte bijlii aap KHud be-zaar ho jaa.e
Saeed Shahidi
Sher
duniyaa hame.n fareb pe detii rahii fareb
ham dekhte rahe nigah-e-e'tibaar se
Takmiil Rizvi Lakhnavi
Sher
ghar me.n thaa kyaa ki tiraa Gam use Gaarat kartaa
vo jo rakhte the ham ik hasrat-e-taamiir so hai
Mirza Ghalib
Sher
Ehteram Islam
Sher
Alam Khursheed
Sher
a.ndherii shab me.n bhii taamiir-e-aashiyaa.n na ruke
nahii.n charaaG to kyaa barq to chamaktii hai
Sahir Ludhianvi
Sher
Qateel Shifai
Sher
ham ko us shahr me.n taamiir kaa saudaa hai jahaa.n
log memaar ko chun dete hai.n diivaar ke saath
Ahmad Faraz
Sher
Afzal Khan
Sher
Raza Azimabadi
Sher
ahl-e-dil ne kiye ta.amiir haqiiqat ke sutuu.n
ahl-e-duniyaa ko rivaayaat pe ronaa aayaa
Zaki kakorvi
Sher
mere hii sa.ng-o-KHisht se ta.amiir-e-baam-o-dar
mere hii ghar ko shahr me.n shaamil kahaa na jaa.e
Majrooh Sultanpuri
Sher
had-e-takmiil ko pahu.nchii tirii ra.anaa.ii-e-husn
jo kasar thii vo miTaa dii tirii a.ng.Daa.ii ne