SEARCH RESULTS
Showing search results for "तासीर-ए-वफ़ा"
Sher MATCHES FOR "तासीर-ए-वफ़ा"
Sher
Ibn e Insha
Sher
ik lafz yaad thaa mujhe tark-e-vafaa magar
bhuulaa hu.aa huu.n Thokare.n khaane ke baa'd bhii
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Sher
jins-e-vafaa kaa dahr me.n baazaar gir gayaa
jab ishq faiz-e-husn kaa haamil nahii.n rahaa
S A Mehdi
Sher
taasiir-e-barq-e-husn jo un ke suKHan me.n thii
ik larzish-e-KHafii mire saare badan me.n thii
Hasrat Mohani
Sher
ho gayaa zard pa.Dii jis pe hasiino.n kii nazar
ye ajab gul hai.n ki taasiir-e-KHizaa.n rakhte hai.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
ye kyaa ki hamii.n marte rahe.n lutf to jab hai
taasiir-e-mohabbat jo idhar ho to udhar bhii
Meer Mehdi Majrooh
Sher
anjaam-e-vafaa ye hai jis ne bhii mohabbat kii
marne kii du.aa maa.ngii jiine kii sazaa paa.ii
Nushur Wahidi
Sher
Anees Ahmad Anees
Sher
aasaan nahii.n marhala-e-tark-e-vafaa bhii
muddat hu.ii ham is ko bhulaane me.n lage hai.n
Hafeez Banarasi
Sher
ham se ba.Dhii masaafat-e-dasht-e-vafaa ki ham
KHud hii bhaTak ga.e jo kabhii raasta milaa
Zehra Nigaah
Sher
ab jafaa se bhii hai.n mahruum ham allaah allaah
is qadar dushman-e-arbaab-e-vafaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Sher
simTaa tiraa KHayaal to gul-ra.ng ashk thaa
phailaa to misl-e-dasht-e-vafaa phailtaa gayaa
Hafiz Taib
Sher
vo mujhe mashvara-e-tark-e-vafaa dete the
ye mohabbat kii adaa hai mujhe ma.aluum na thaa
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
qiimat-e-jins-e-vafaa niim-nigaahii tauba
aisii baate.n na kare.n aap ki saudaa na bane