SEARCH RESULTS
Showing search results for "तीर-ए-क़ज़ा"
Sher MATCHES FOR "तीर-ए-क़ज़ा"
Sher
ko.ii mere dil se puuchhe tire tiir-e-niim-kash ko
ye KHalish kahaa.n se hotii jo jigar ke paar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
kyaa tiir-e-sitam us ke siine me.n bhii TuuTe the
jis zaKHm ko chiiruu.n huu.n paikaan nikalte hai.n
Meer Taqi Meer
Sher
tiir-e-qaatil ko kaleje se lagaa rakkhaa hai
ham to dushman ko bhii aaraam diye jaate hai.n
Bekhud Dehlvi
Sher
kabhii kabhii chup ho jaane kii KHvaahish hotii hai
aaise me.n jab tiir-e-sitam kii baarish hotii hai
Khalid Ebadi
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
tiir-e-nigah lagaa ke tum kahte ho phir lagaa na KHuub
meraa to kaam ho gayaa siine ke paar ho na ho
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
jam.a kar ke dard saare tuu ne paidaa dil kiyaa
kah tuu ai dast-e-qazaa is se kyaa haasil kiyaa
Meer Ziauddin Zia
Sher
Wali Kakoravi
Sher
KHud hii charaaG ab apnii lau se naalaa.n hai
naqsh ye kyaa ubhraa ye kaisaa zavaal hu.aa
Krishna Kumar Toor
Sher
ye kyaa Gazab hai jo kal tak sitam-rasiida the
sitamgaro.n me.n ab un kaa bhii naam aayaa hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
laTakte dekhaa siine par jo tere taar-e-gesuu ko
use diivaane vahshat me.n tiraa band-e-qabaa samjhe