SEARCH RESULTS
Showing search results for "दफ़्न"
Sher MATCHES FOR "दफ़्न"
Sher
saat sanduuqo.n me.n bhar kar dafn kar do nafrate.n
aaj insaa.n ko mohabbat kii zaruurat hai bahut
Bashir Badr
Sher
dafn kar saktaa huu.n siine me.n tumhaare raaz ko
aur tum chaaho to afsaana banaa saktaa huu.n mai.n
Asrarul Haq Majaz
Sher
kitnaa hai bad-nasiib 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamiin bhii na milii kuu-e-yaar me.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
apnii galii me.n mujh ko na kar dafn baad-e-qatl
mere pate se KHalq ko kyuu.n teraa ghar mile
Mirza Ghalib
Sher
muTThiyo.n me.n KHaak le kar dost aa.e vaqt-e-dafn
zindagii bhar kii mohabbat kaa silaa dene lage
Saqib Lakhnavi
Sher
Makhmoor Dehlvi
Sher
armaa.n tamaam umr ke siine me.n dafn hai.n
ham chalte phirte log mazaaro.n se kam nahii.n
Unknown
Sher
mai.n apne jism ke andar na dafn ho jaa.uu.n
mujhe vajuud ke girte hu.e makaa.n se nikaal
Jeem Jazil
Sher
Khalilur Rahman Azmi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
yahaa.n to rasm hai zindo.n ko dafn karne kii
kisii bhii qabr se murda kahaa.n nikaltaa hai
Khursheed Akbar
Sher
KHuubsuurat ruuh kaa ik pairahan hai jism lekin
jism ke malbe me.n sab ne ruuh apnii dafn kar dii