SEARCH RESULTS
Showing search results for "दम-ए-बोस"
Sher MATCHES FOR "दम-ए-बोस"
Sher
jannat kii ne.amato.n kaa mazaa vaa.izo.n ko ho
ham to hai.n mahv lazzat-e-bos-o-kanaar me.n
Hatim Ali Mehr
Sher
vo ek raat to mujh se alag na so.egaa
hu.aa jo lazzat-e-bos-o-kanaar se vaaqif
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
be-takalluf aa gayaa vo mah dam-e-fikr-e-suKHan
rah gayaa paas-e-adab se qaafiya aadaab kaa
Muneer Shikohabadi
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
manzar-e-shaam-e-Gariibaa.n hai dam-e-ruKHsat-e-KHvaab
ta.aziye kii tarah uTThaa hai ko.ii bistar se
Azhar Faragh
Sher
mai.n dast-o-garebaa.n huu.n dam-e-baaz-pusii.n se
hamdam use laataa hai to laa jald kahii.n se
Nazeer Akbarabadi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
KHair kii saarii du'aa.o.n kaa bhalaa ho la.Dkii
ek bosa dam-e-ruKHsat ki giraanii nikle
Aqeel Abbas
Sher
pak.De jaate hai.n farishto.n ke likhe par naa-haq
aadmii ko.ii hamaaraa dam-e-tahriir bhii thaa
Mirza Ghalib
Sher
dekhnaa hasrat-e-diidaar ise kahte hai.n
phir gayaa mu.nh tirii jaanib dam-e-murdan apnaa
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
paiham sujuud paa-e-sanam par dam-e-vidaa
'momin' KHudaa ko bhuul ga.e iztiraab me.n
Momin Khan Momin
Sher
do tiin dam-e-sard bhare hai.n to vo bole
jaa.o mirii majlis ko na kashmiir banaa.o
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
dosto mere liye ko.ii bhii afsurda na ho
KHush-dilii se dam-e-ruKHsat mujhe ruKHsat kiyaa jaa.e
Anjum Saleemi
Sher
Ameer Minai
Sher
mahshar me.n paas kyuu.n dam-e-fariyaad aa gayaa
rahm us ne kab kiyaa thaa ki ab yaad aa gayaa
Momin Khan Momin
Sher
namii sii thii dam-e-ruKHsat kuchh un ke aa.nchal par
vo ashk the ki pasiina mai.n sochtaa hii rahaa