SEARCH RESULTS
Showing search results for "दम-ब-दम"
Sher MATCHES FOR "दम-ब-दम"
Sher
ham vo daraKHt hai.n ki jise dam-ba-dam ajal
arra idhar dikhaatii hai uudhar tabar qazaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
dam-ba-dam uThtii hai.n kis yaad kii lahre.n dil me.n
dard rah rah ke ye karvaT sii badaltaa kyaa hai
Jamal Panipati
Sher
makaan siine kaa paataa huu.n dam-ba-dam KHaalii
nazar bachaa ke tuu ai dil kidhar ko jaataa hai
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
itnaa gayaa huu.n duur mai.n KHud se ki dam-ba-dam
karnii pa.De hai apnii bhii ab iltijaa mujhe
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Jaun Eliya
Sher
faanii-e-ishq kuu.n tahqiiq ki hastii hai kufr
dam-ba-dam ziist ne.n merii mujhe zunnaar diyaa
Abroo Shah Mubarak
Sher
mai.n savaa sher ke kuchh aur samajhtaa hii nahii.n
dam-ba-dam hai yahii diin o dil o iimaa.n meraa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ushshaaq jo tasavvur-e-barzaKH ke ho ga.e
aatii hai dam-ba-dam ye unhii.n ko sadaa-e-qalb
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
Khaavar Jilani
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
azal se ham-nafasii hai jo jaan-e-jaa.n se hame.n
payaam dam-ba-dam aataa hai laa-makaa.n se hame.n
Sahir Dehlavi
Sher
zo.af se girya mubaddal ba-dam-e-sard hu.aa
baavar aayaa hame.n paanii kaa havaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Sher
bas yuu.nhii ham-sarii-e-ahl-e-jahaa.n mumkin hai
dam-ba-dam apnii bulandii se utartaa jaa.uu.n
Makhmoor Saeedi
Sher
rusvaa hu.e zaliil hu.e dar-ba-dar hu.e
haq baat lab pe aa.ii to ham be-hunar hu.e
Khaleel Tanveer
Sher
Unknown
Sher
dar-ba-dar Thokare.n khaa.ii.n to ye maaluum hu.aa
ghar kise kahte hai.n kyaa chiiz hai be-ghar honaa
Saleem Ahmed
Sher
liye phiraa jo mujhe dar-ba-dar zamaane me.n
KHayaal tujh ko dil-e-be-qaraar kis kaa thaa