SEARCH RESULTS
Showing search results for "दरवेश"
Sher MATCHES FOR "दरवेश"
Sher
dil paa ke us kii zulf me.n aaraam rah gayaa
darvesh jis jagah ki hu.ii shaam rah gayaa
Qayem Chaandpuri
Sher
Aamil Darvesh
Sher
miltii nahii.n hai naav to darvesh kii tarah
KHud me.n utar ke paar utar jaanaa chaahiye
Abbas Tabish
Sher
darvesh nazar aataa thaa har haal me.n lekin
'saajid' ne libaas itnaa bhii saada nahii.n pahnaa
Iqbal Sajid
Sher
ulfat to dekhiye mirii diidaar ke sabab
darvesh ban ke yaar kii chaukhaT pe aa gayaa
Mahwar Sirsivi
Sher
mujh jaise darvesh tumhaarii duniyaa me.n
marne kii KHvaahish me.n zinda rahte hai.n
Mohammad Mustahsan Jami
Sher
kisii darvesh ke hujre se abhii aayaa huu.n
so tire hukm kii taamiil nahii.n karnii mujhe
Ahmad Khayal
Sher
mard-e-darvesh huu.n takiya hai tavakkul meraa
KHarch har roz hai yaa.n aamad-e-baalaa.ii kaa
Haidar Ali Aatish
Sher
kabhii darvesh ke takiya me.n bhii aa kar dekho
ta.ng-dastii me.n bhii aaraam mayassar niklaa
Anees Ansari
Sher
ek aalim hai jo sajdo.n me.n gila kartaa hai
ek darvesh hai jo haalaat-e-namnaak me.n KHush
Aisha Ayub
Sher
harba hai aashiqo.n kaa faqat aah-e-pechdaar
darvesh log rakhte hai.n jaise hiran kii shaaKH
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
dii.n-daar log rab ko manaane me.n mast hai.n
darvesh apne naachne gaane me.n mast hai.n