SEARCH RESULTS
Showing search results for "दर्द-ए-जुदाई"
Sher MATCHES FOR "दर्द-ए-जुदाई"
Sher
is dard-e-judaa.ii se kahii.n jaan nikal jaa.e
'aazurdaa' mire haq me.n zaraa yuu.n bhii du.aa kar
Mufti Sadruddin Aazurda
Sher
dard-e-dil ke vaaste paidaa kiyaa insaan ko
varna taa.at ke liye kuchh kam na the karr-o-bayaa.n
Khwaja Meer Dard
Sher
kahte na the ham 'dard' miyaa.n chho.Do ye baate.n
paa.ii na sazaa aur vafaa kiijiye us se
Khwaja Meer Dard
Sher
Ibn e Insha
Sher
itnaa hii chaahtaa huu.n ki mai.n aur andaliib
aapas me.n dard-e-dil kahe.n Tuk baiTh kar kahii.n
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
sair-e-bahaar-e-baaG se ham ko mu.aaf kiijiye
us ke KHayaal-e-zulf se 'dard' kise faraaG hai
Khwaja Meer Dard
Sher
thii vasl me.n bhii fikr-e-judaa.ii tamaam shab
vo aa.e to bhii nii.nd na aa.ii tamaam shab
Momin Khan Momin
Sher
use ma.aluum thaa ye shaam-e-judaa.ii hai to bas
aaKHirii baar bahut der ikaTThe baiThe
Sajjad Baluch
Sher
rahnaa tum chaahe jahaa.n KHabro.n me.n aate rahnaa
ham ko ehsaas-e-judaa.ii se bachaate rahnaa
Wamiq Jaunpuri
Sher
ishq se tabii.at ne ziist kaa mazaa paayaa
dard kii davaa paa.ii dard-e-be-davaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
shab-e-visaal bahut kam hai aasmaa.n se kaho
ki jo.D de ko.ii Tuk.Daa shab-e-judaa.ii kaa
Ameer Minai
Sher
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaa.ii
gintii ke do hai.n lekin laakho.n kii jaan par hai.n
Muztar Khairabadi
Sher
aaj tak yaad hai vo shaam-e-judaa.ii kaa samaa.n
terii aavaaz kii larzish tire lahje kii thakan
Azeem Murtaza
Sher
mujh se kyaa puuchhte ho daaG hai.n dil me.n kitne
tum ko ayyaam-e-judaa.ii kaa shumaar aataa hai
Taashshuq Lakhnavi
Sher
tum kyuu.n shab-e-judaa.ii parde me.n chhup ga.e ho
qismat ke aur taare sab aasmaan par hai.n