SEARCH RESULTS
Showing search results for "दवात"
Sher MATCHES FOR "दवात"
Sher
bachcho.n kii fees un kii kitaabe.n qalam davaat
merii Gariib aa.nkho.n me.n school chubh gayaa
Munawwar Rana
Sher
Gazal fazaa bhii Dhuu.nDtii hai apne KHaas rang kii
hamaaraa mas.ala faqat qalam davaat hii nahii.n
Aitbar Sajid
Sher
likhe.n ham aish kii taKHtii ko kis tarah ai jaa.n
qalam zamiin ke uupar davaat koThe par
Nazeer Akbarabadi
Sher
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
ishrat-e-qatra hai dariyaa me.n fanaa ho jaanaa
dard kaa had se guzarnaa hai davaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
ishq se tabii.at ne ziist kaa mazaa paayaa
dard kii davaa paa.ii dard-e-be-davaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
vo zahr detaa to sab kii nigah me.n aa jaataa
so ye kiyaa ki mujhe vaqt pe davaa.e.n na dii.n
Akhtar Nazmi
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
maraz-e-ishq jise ho use kyaa yaad rahe
na davaa yaad rahe aur na du.aa yaad rahe
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
biimaar ko maraz kii davaa denii chaahiye
mai.n piinaa chaahtaa huu.n pilaa denii chaahiye
Rahat Indori
Sher
be-dam hu.e biimaar davaa kyuu.n nahii.n dete
tum achchhe masiihaa ho shifaa kyuu.n nahii.n dete
Faiz Ahmad Faiz
Sher
dard ko rahne bhii de dil me.n davaa ho jaa.egii
maut aa.egii to ai hamdam shifaa ho jaa.egii
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
Sher
na chaaraagar kii zaruurat na kuchh davaa kii hai
du.aa ko haath uThaa.o ki Gam kii raat kaTe
Rajendera Krishan
Sher
aisaa na ho ye dard bane dard-e-laa-davaa
aisaa na ho ki tum bhii mudaavaa na kar sako