SEARCH RESULTS
Showing search results for "दस्तक"
Sher MATCHES FOR "दस्तक"
Sher
Abbas Tabish
Sher
ham kisii dar pe na ThiTke na kahii.n dastak dii
saik.Do.n dar the mirii jaa.n tire dar se pahle
Ibn e Insha
Sher
Obaidullah Aleem
Sher
sukuut-e-shab me.n dar-e-dil pe ek dastak thii
bikhar ga.ii tirii yaado.n kii kahkashaa.n mujh se
Ameer Qazalbash
Sher
na jaane kab tire dil par na.ii sii dastak ho
makaan KHaalii hu.aa hai to ko.ii aa.egaa
Bashir Badr
Sher
ek mai.n huu.n aur dastak kitne darvaazo.n pe duu.n
kitnii dahliizo.n pe sajda ek peshaanii kare
Mahtab Haider Naqvi
Sher
ko.ii dastak ko.ii aahaT na shanaasaa aavaaz
KHaak u.Dtii hai dar-e-dil pe bayaabaa.n kii tarah
Zaheer Kashmiri
Sher
de rahe hai.n log mere dil pe dastak baar baar
dil magar ye kah rahaa hai sirf tuu aur sirf tuu
Fariha Naqvi
Sher
dastak me.n ko.ii dard kii KHushbuu zaruur thii
darvaaza kholne ke liye ghar kaa ghar uThaa
Qaisarul Jafri
Sher
roz dastak sii ko.ii detaa hai siine me.n 'nabiil'
roz mujh me.n kisii aavaaz ke par khulte hai.n
Aziz Nabeel
Sher
band rakkhoge dariiche dil ke yaaro kab talak
ko.ii dastak de rahaa hai uTh ke dekho to sahii
Akhtar Saeed Khan
Sher
mere andar ek dastak sii kahii.n hotii rahii
zindagii o.Dhe hu.e mai.n be-KHabar sotii rahii
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
dastak dene vaale tujh ko ilm nahii.n
darvaaze ke dono.n jaanib taalaa hai
Mohammad Mustahsan Jami
Sher
ko.ii dastak ko.ii aahaT na sadaa hai ko.ii
duur tak ruuh me.n phailaa hu.aa sannaaTaa hai
Waseem Malik
Sher
KHatm ho jaa.egaa jis din bhii tumhaaraa intizaar
ghar ke darvaaze pe dastak chiiKHtii rah jaa.egii
Tahir Faraz
Sher
hazaar baar KHud apne makaa.n pe dastak dii
ik ehtimaal me.n jaise ki mai.n hii andar thaa
Mushfiq Khwaja
Sher
bhalii kyuu.n lage ham ko KHushiyo.n kii dastak
abhii ham mohabbat kaa Gam kar rahe hai.n
Fariha Naqvi
Sher
sadiyo.n kaa intishaar fasiilo.n me.n qaid thaa
dastak ye kis ne dii ki imaarat bikhar ga.ii