SEARCH RESULTS
Showing search results for "दहर"
Sher MATCHES FOR "दहर"
Sher
rahne ko sadaa dahr me.n aataa nahii.n ko.ii
tum jaise ga.e aise bhii jaataa nahii.n ko.ii
Kaifi Azmi
Sher
soz-e-Gam de ke mujhe us ne ye irshaad kiyaa
jaa tujhe kashmakash-e-dahr se aazaad kiyaa
Josh Malihabadi
Sher
gulshan-e-dahr se KHushbuu kii tarah guzraa mai.n
sab ko mahkaayaa magar apnii numaa.ish nahii.n kii
Minhaj Ali
Sher
vo haadse bhii dahr me.n ham par guzar ga.e
jiine kii aarzuu me.n ka.ii baar mar ga.e
Unwan Chishti
Sher
jise ishrat-kada-e-dahr samajhtaa thaa mai.n
aaKHir-e-kaar vo ik KHvaab-e-pareshaa.n niklaa
Agha Mohammad Taqi Khan taraqqi
Sher
ab kaargah-e-dahr me.n lagtaa hai bahut dil
ai dost kahii.n ye bhii tiraa Gam to nahii.n hai
Majrooh Sultanpuri
Sher
jins-e-vafaa kaa dahr me.n baazaar gir gayaa
jab ishq faiz-e-husn kaa haamil nahii.n rahaa
S A Mehdi
Sher
adam se dahr me.n aanaa kise gavaaraa thaa
kashaa.n kashaa.n mujhe laa.ii hai aarzuu terii
Haidar Ali Aatish
Sher
KHud ko hujuum-e-dahr me.n khonaa pa.Daa mujhe
jaise the log vaisaa hii honaa pa.Daa mujhe
Iftikhar Naseem
Sher
be-sabaatii chaman-e-dahr kii hai jin pe khulii
havas-e-ra.ng na vo KHvaahish-e-buu karte hai.n
Aish Dehlvi
Sher
dekh le is chaman-e-dahr ko dil bhar ke 'naziir'
phir tiraa kaahe ko is baaG me.n aanaa hogaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
kaafir-e-ishq hu.aa jab se mai.n is dahr me.n huu.n
hai mire kufr se ye diin aur iimaa.n naazaa.n
Shah Aasim
Sher
aa.nkho.n me.n u.D rahii hai luTii mahfilo.n kii dhuul
ibrat-saraa-e-dahr hai aur ham hai.n dosto
Muneer Niyazi
Sher
jab ishq thaa to dil kaa ujaalaa thaa dahr me.n
ko.ii charaaG nuur-badaamaa.n nahii.n hai ab