SEARCH RESULTS
Showing search results for "दाग़-ए-दिल"
Sher MATCHES FOR "दाग़-ए-दिल"
Sher
ik daaG-e-dil ne mujh ko diye be-shumaar daaG
paidaa hu.e hazaar charaaG is charaaG se
Natiq Lakhnavi
Sher
Qamar Jalalvi
Sher
Syed Adeel Gilanii
Sher
niklaa na daaG-e-dil se hamaaraa to ko.ii kaam
na vo charaaG-e-dair na sham-e-haram hu.aa
Munawar Khan Ghafil
Sher
muflis ke diye kii sii tiraa daaG-e-dil apnaa
ik shab na jalaa bas-ki hu.aa shaam se ma.azuul
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
daaG-e-dil shab ko jo bantaa hai charaaG-e-dahliiz
raushnii ghar me.n mire rahtii hai andar baahar
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Sohail Azeemabadi
Sher
aataa hai daaG-e-hasrat-e-dil kaa shumaar yaad
mujh se mire gunah kaa hisaab ai KHudaa na maa.ng
Mirza Ghalib
Sher
is shahr me.n to kuchh nahii.n rusvaa.ii ke sivaa
ai 'dil' ye ishq le ke kidhar aa gayaa tujhe
Dil Ayubi
Sher
aarzuu lutf talab ishq saraasar naakaam
mubtalaa zindagi-e-dil inhii.n auhaam me.n hai
Dil Shahjahanpuri
Sher
zaKHm-e-dil daaG-e-jigar daaG-e-tamannaa kii qasam
chaa.nd se phuul se Dar ham ko yahaa.n hotaa hai
Daood Mohsin
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
vo bulaate to hai.n mujh ko magar ai jazba-e-dil
shauq itnaa bhii na ba.Dh jaa.e ki jaa.e na bane
A. D. Azhar
Sher
haath rakh kar jo vo puuchhe dil-e-betaab kaa haal
ho bhii aaraam to kah duu.n mujhe aaraam nahii.n