SEARCH RESULTS
Showing search results for "दावत-ए-बरहमी"
Sher MATCHES FOR "दावत-ए-बरहमी"
Sher
us vaqt mujh ko daavat-e-jaam-o-subuu milii
jis vaqt mai.n gunaah ke qaabil nahii.n rahaa
Saghar Khayyami
Sher
labo.n pe mauj-e-tabassum nigah me.n barq-e-Gazab
ko.ii bataa.e ye andaaz-e-barhamii kyaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
zaahido da.avat-e-rindaa.n hai sharaab aur kabaab
kabhii maiKHaane me.n bhii roza-kushaa.ii ho jaa.e
Imdad Ali Bahr
Sher
jannat-e-suufiyaa nisaar dahr kii musht-e-KHaak par
aashiq-e-arz-e-paak ko daavat-e-laa-makaa.n na de
Firaq Gorakhpuri
Sher
ye mahr-o-maah-o-kavaakib kii bazm-e-laa-mahduud
salaa-e-daavat-e-parvaaz hai bashar ke liye
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
'matiin' un kaa karam vaaqa.ii karam hai to phir
ye be-ruKHii ye taGaaful ye barhamii kyaa hai
Matin Niazi
Sher
va.ade aur e'tibaar me.n hai rabt-e-baahamii
is rabt-e-baahamii kaa magar e'tibaar kiyaa
Nushur Wahidi
Sher
aamaal kii pursish na kar ai daavar-e-mahshar
majbuur to muKHtaar kabhii ho nahii.n saktaa
Josh Malsiani
Sher
da.avaa-e-insaaniyat 'maa.il' abhii zebaa nahii.n
pahle ye socho kisii ke kaam aa saktaa huu.n mai.n
Mael Lakhnavi
Sher
kahuu.ngaa daavar-e-mahshar kar diyaa jaa.e
ki umr bhar usii kaafir ko mai.n ne pyaar kiyaa
Munni Bai Hijab
Sher
daava-e-aashiqii hai to 'hasrat' karo nibaah
ye kyaa ke ibtidaa hii me.n ghabraa ke rah ga.e
Hasrat Mohani
Sher
mai.n ne kahaa ki daava-e-ulfat magar Galat
kahne lage ki haa.n Galat aur kis qadar Galat
Navab Mohammad Yusuf Ali Khan Bahadur
Sher
mai.n ne kab da.avaa-e-ilhaam kiyaa hai 'taabaa.n'
likh diyaa kartaa huu.n jo dil pe guzartii jaa.e
Ghulam Rabbani Taban
Sher
daavar-e-hashr miraa naama-e-a.amaal na dekh
is me.n kuchh parda-nashiino.n ke bhii naam aate hai.n