SEARCH RESULTS
Showing search results for "दिलवा"
Sher MATCHES FOR "दिलवा"
Sher
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
ai sadaf sun tujhe phir yaad dilaa detaa huu.n
mai.n ne ik chiiz tujhe dii thii guhar karne ko
Farhat Ehsas
Sher
dilaa de ham ko bhii saahab se loyalty kaa parvaana
qayaamat tak rahe sayyad tire honour kaa afsaana
Akbar Allahabadi
Sher
vaqt haakim hai kisii roz dilaa hii degaa
dil ke sailaab-zada shahr pe qabza mujh ko
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
us ko KHabar hu.ii to badal jaa.egaa vo ra.ng
ehsaas tak na us ko dilaa aur dekh le
Shahzad Ahmad
Sher
tum ne likkhaa hai mire KHat mujhe vaapas kar do
Dar ga.ii.n husn-e-dil-aavez kii rusvaa.ii se
Prem Warbartani
Sher
muntazir us ke dilaa taa-ba-kujaa baiThnaa
shaam hu.ii ab chalo sub.h phir aa baiThnaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
dilaa uThaa.iye har tarah us kii chashm kaa naaz
zamaana ba tuu na-saazad tuu baa zamaana ba-saaz
Baqaullah 'Baqa'
Sher
dil-e-naazuk miraa haatho.n me.n sambhaale rakhiyo
kahe detaa huu.n ye ai sa.ng-dilaa.n hai shiisha
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
hai roz-e-panj-shamba tuu faatiha dilaa de
ghar tere kushtagaa.n kii ruuhe.n na aa.iyaa.n ho.n