SEARCH RESULTS
Showing search results for "दिल-ए-बीमार"
Sher MATCHES FOR "दिल-ए-बीमार"
Sher
yuu.n tasallii de rahe hai.n ham dil-e-biimaar ko
jis tarah thaame ko.ii girtii hu.ii diivaar ko
Qateel Shifai
Sher
unhe.n kyaa fikr ki puuchhe.n dil-e-biimaar kaa haal
be-niyaazaana vo andaaz-e-suKHan hai ki jo thaa
Hanif Fauq
Sher
is shahr me.n to kuchh nahii.n rusvaa.ii ke sivaa
ai 'dil' ye ishq le ke kidhar aa gayaa tujhe
Dil Ayubi
Sher
chashm-e-dilbar ne dil-e-zaar kii dildaarii kii
aah biimaar ne biimaar kii Gam-KHvaarii kii
Sheikh Bimar Ali Bakhsh
Sher
aarzuu lutf talab ishq saraasar naakaam
mubtalaa zindagi-e-dil inhii.n auhaam me.n hai
Dil Shahjahanpuri
Sher
dil to.Dne vaale ko KHabar ho ki abhii mai.n
sar-taa-ba-qadam ik dil-e-biimaar nahii.n huu.n
Khalid Khwaja
Sher
Ibn e Insha
Sher
vo bulaate to hai.n mujh ko magar ai jazba-e-dil
shauq itnaa bhii na ba.Dh jaa.e ki jaa.e na bane
A. D. Azhar
Sher
ho ga.e raam jo tum Gair se a jaan-e-jahaa.n
jal rahii hai dil-e-pur-nuur kii lanka dekho
Kalb-e-husain Nadir
Sher
kis tarah kar diyaa dil-e-naazuk ko chuur-chuur
is vaaqi.a kii KHaak hai patthar ko ittilaa.a
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
vahshat-e-dil ke KHariidaar bhii naapaid hu.e
kaun ab ishq ke baazaar me.n kholegaa dukaa.n
Ibn e Insha
Sher
puuraa kare.nge holii me.n kyaa vaada-e-visaal
jin ko abhii basant kii ai dil KHabar nahii.n
Kalb-e-husain Nadir
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
itnaa hii chaahtaa huu.n ki mai.n aur andaliib
aapas me.n dard-e-dil kahe.n Tuk baiTh kar kahii.n
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
ye dil kab ishq ke qaabil rahaa hai
kahaa.n is ko dimaaG o dil rahaa hai