SEARCH RESULTS
Showing search results for "दिल-ए-सादा"
Sher MATCHES FOR "दिल-ए-सादा"
Sher
na KHush-gumaan ho is par tuu ai dil-e-saada
sabhii ko dekh ke vo shaKHs muskuraataa hai
Shahryar
Sher
mai.n kahaa.n tak dil-e-saada ko bhaTakne se bachaa.uu.n
aa.nkh jab uTThe gunahgaar banaa de mujh ko
Irfan Siddiqi
Sher
is shahr me.n to kuchh nahii.n rusvaa.ii ke sivaa
ai 'dil' ye ishq le ke kidhar aa gayaa tujhe
Dil Ayubi
Sher
aarzuu lutf talab ishq saraasar naakaam
mubtalaa zindagi-e-dil inhii.n auhaam me.n hai
Dil Shahjahanpuri
Sher
jaan ham kaar-e-mohabbat kaa sila chaahte the
dil-e-saada ko.ii mazduur hai ujrat kaisii
Irfan Siddiqi
Sher
Ibn e Insha
Sher
vo bulaate to hai.n mujh ko magar ai jazba-e-dil
shauq itnaa bhii na ba.Dh jaa.e ki jaa.e na bane
A. D. Azhar
Sher
ho ga.e raam jo tum Gair se a jaan-e-jahaa.n
jal rahii hai dil-e-pur-nuur kii lanka dekho
Kalb-e-husain Nadir
Sher
kis tarah kar diyaa dil-e-naazuk ko chuur-chuur
is vaaqi.a kii KHaak hai patthar ko ittilaa.a
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
vahshat-e-dil ke KHariidaar bhii naapaid hu.e
kaun ab ishq ke baazaar me.n kholegaa dukaa.n
Ibn e Insha
Sher
puuraa kare.nge holii me.n kyaa vaada-e-visaal
jin ko abhii basant kii ai dil KHabar nahii.n
Kalb-e-husain Nadir
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
itnaa hii chaahtaa huu.n ki mai.n aur andaliib
aapas me.n dard-e-dil kahe.n Tuk baiTh kar kahii.n
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
shaKHsiyat kaa ye tavaazun teraa hissa hai 'fazaa'
jitnii saada hai tabii.at utnaa hii tiikhaa hunar
Faza Ibn e Faizi
Sher
ye dil kab ishq ke qaabil rahaa hai
kahaa.n is ko dimaaG o dil rahaa hai