SEARCH RESULTS
Showing search results for "दीद"
Sher MATCHES FOR "दीद"
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
kahte hai.n eid hai aaj apnii bhii eid hotii
ham ko agar mayassar jaanaa.n kii diid hotii
Ghulam Bhik Nairang
Sher
janaab ke ruKH-e-raushan kii diid ho jaatii
to ham siyaah-nasiibo.n kii iid ho jaatii
Anwar Shuoor
Sher
Zubair Rizvi
Sher
aaj yaaro.n ko mubaarak ho ki sub.h-e-eid hai
raag hai mai hai chaman hai dilrubaa hai diid hai
Abroo Shah Mubarak
Sher
jo aur kuchh ho tirii diid ke sivaa manzuur
to mujh pe KHvaahish-e-jannat haraam ho jaa.e
Hasrat Mohani
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
ab us kii diid mohabbat nahii.n zaruurat hai
ki us se mil ke bichha.Dne kii aarzuu hai bahut
Zafar Iqbal
Sher
jahaa.n na apne aziizo.n kii diid hotii hai
zamiin-e-hijr pe bhii ko.ii iid hotii hai
Ain Tabish
Sher
itnii to diid-e-ishq kii taasiir dekhiye
jis samt dekhiye tirii tasviir dekhiye
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
vahm ye tujh ko ajab hai ai jamaal-e-kam-numaa
jaise sab kuchh ho magar tuu diid ke qaabil na ho
Muneer Niyazi
Sher
'dard' ke milne se ai yaar buraa kyuu.n maanaa
us ko kuchh aur sivaa diid ke manzuur na thaa
Khwaja Meer Dard
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
kyuu.n ishaara hai ufuq par aaj kis kii diid hai
alvidaa.a maah-e-ramazaa.n vo hilaal-e-iid hai...