SEARCH RESULTS
Showing search results for "दीन-दार"
Sher MATCHES FOR "दीन-दार"
Sher
mujhe gunaah me.n apnaa suraaG miltaa hai
vagarna paarsaa-o-diin-daar mai.n bhii thaa
Saqi Faruqi
Sher
tavaaf-e-ka.aba ko kyaa jaa.e.n haj nahii.n vaajib
kalaal-KHaane ke kuchh diin-daar ham bhii hai.n
Aagha Akbarabadi
Sher
Meer Hasan
Sher
guzartii hai maze se vaa.izo.n kii zindagii ab to
sahaaraa ho gayaa hai diin duniyaa-daar logo.n kaa
Natiq Gulavthi
Sher
dekh kar haath me.n tasbiih gale me.n zunnaar
mujh se bezaar hu.e kaafir o dii.n-daar judaa
Maatam Fazl Mohammad
Sher
ham bandagaan-e-ishq kaa maslak niraalaa hai
kaafir kii is me.n vaz.a na dii.n-daar kii tarah
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
sulh-e-kul me.n mirii guzre hai mohabbat ke biich
na to takraar hai kaafir se na dii.n-daar se bahs
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Meer Mohammadi Bedar
Sher
vo din ga.e ki 'daaG' thii har dam buto.n kii yaad
pa.Dhte hai.n paa.nch vaqt kii ab to namaaz ham
Dagh Dehlvi
Sher
raah se dair-o-haram kii hai jo kuu-e-yaar me.n
hai vahii dii.n-daar gar kuffaar aataa hai nazar
Miskeen Shah
Sher
is KHaak-daan-e-dahr me.n ghuTtaa agar hai dam
maqduur ho to aag lagaa de havaa na maa.ng
Natiq Gulavthi
Sher
vo itr-daan saa lahja mire buzurgo.n kaa
rachii-basii hu.ii urdu zabaan kii KHushbuu
Bashir Badr
Sher
gul-daan me.n gulaab kii kaliyaa.n mahak uThii.n
kursii ne us ko dekh ke aaGosh vaa kiyaa
Mohammad Alvi
Sher
shaam ne jab palko.n pe aatish-daan liyaa
kuchh yaado.n ne chuTkii me.n lobaan liyaa