SEARCH RESULTS
Showing search results for "दुख-दर्द"
Sher MATCHES FOR "दुख-दर्द"
Sher
bas aur to kyaa honaa thaa dukh-dard sunaa kar
yaaro.n ke liye ek tamaasha nikal aataa
Ambar Kharbanda
Sher
raate.n aish-o-ishrat kii din dukh dard musiibat ke
aatii aatii aatii hai.n jaate jaate jaate hai.n
Mela Ram Wafa
Sher
kitne tuufaano.n se ham uljhe tujhe ma.aluum kyaa
pe.D ke dukh-dard kaa phuulo.n se andaaza na kar
Faheem Jogapuri
Sher
Dinesh Kumar
Sher
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
Sher
dukh-bharaa shahr kaa manzar kabhii tabdiil bhii ho
dard ko had se guzarte ko.ii kab tak dekhe
Najmus Saqib
Sher
Tauseef Tabassum
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
dilo.n se dard du.aa se asar nikaltaa hai
ye kis bahisht kii jaanib bashar nikaltaa hai
Mohammad Mukhtar Ali
Sher
is dard-e-judaa.ii se kahii.n jaan nikal jaa.e
'aazurdaa' mire haq me.n zaraa yuu.n bhii du.aa kar
Mufti Sadruddin Aazurda
Sher
haal tum sun lo miraa dekh lo suurat merii
dard vo chiiz nahii.n hai ki dikhaa.e ko.ii
Jaleel Manikpuri
Sher
mataa-e-dard parakhnaa to bas kii baat nahii.n
jo tujh ko dekh ke aa.e vo ham ko pahchaane
Ada Jafarey
Sher
Naheed Virk
Sher
ko.ii davaa na de sake mashvara-e-du.aa diyaa
chaaragaro.n ne aur bhii dard dil kaa ba.Dhaa diyaa
Hafeez Jalandhari
Sher
vahdat me.n terii harf du.ii kaa na aa sake
aa.iina kyaa majaal tujhe mu.nh dikhaa sake